Qayamat ke din Sawal Sab se pehle Namaz ka hoga
Hadees: Tameem Dari (R.A.) se riwayat hai ki –
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Bandey se Qayamat ke Roz sabse pahle Namaz ka hisaab hoga. Agar Uski Namazein poori hongi tou uske Nawafeel alag se likh diye jayenge aur agar Usne Namazein poori nahi ki hongi tou Allah Ta’ala apne Farishton se farmayega ‘Dekho kya mere bande ke paas nawafeel hain ? ‘
Tou Unn Nawafil ke Zariye Jo Faraaiz Usney Zaaya kar diye Unki Takmeel kar do, phir baaqi Aamal ka hisaab bhi essi tarah hoga.”
📕 Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadees 1426
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Taala Hume tamam faraiz sunnato aur nawafeel ka ahtmam karne ki taufik ata farmaye.
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.