♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Sasallam) Ne Farmaya –
“Mujhe Mere Martabey Se Ziyada Na Badhao !
Jaisey Esa Ibne Mariyam (Alaihi Salam) Ko Nassara Ne Inkey Martabey Se Ziyada Badha Diya Hai,
Main Tou Sirf Allah Ka Banda Hoon!
Isliye Yahi Kaha Karo Ki Main Allah Ka Banda Hoon Aur Uska Rasool Hun’.
– (Sahih Bukhari Hadees 3445)
Isa (Alaihay Salam)
Related Posts:
Ziyada Logo Ko Fayida Pohnchaye .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - "Tum Me Behtar Woh Hai Jiski Wajeh Se Ziyada Logon Ko Fayida Pohnche.." - (Bukhari Sharif)
Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Uqba-Bin-Aamir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Roz Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Nikle Aur Uhad Ke Shaheedon Par Namaz Parhi Jaise Janaze Ki Namaz Parhte Hain Phir Minbar Ki Taraf Aaye Aur Farmaya - "Main Tumhara Paish Khaima Hunga Aur Gawah Hunga Aur Qasam Allah Ki - Main Hauz Ko Iss Waqt Dekh Raha Hoon Aur Mujhko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ata Ki Gayee Hain, - Yaa Zameen Ki Kunjiya Aur Qasam Allah Ki Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge - Balki Ye Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Lalach Me Aakar…
Khushali Ke Zamane Me Ziyada Dua Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurerah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya - "Jo Shakhs Ye Chahey Ke Allah Ta'ala Sakhtiyo Aur Be-Chainiyo Ke Waqt Uski Dua Qubool Farmaye Tou Usey Chahiye Ke Wo Khushali Ke Zamane Me Ziyada Dua Kiya Kare..." - (Tirmizi Sharif) ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez!! Allah Ta'ala Hume Kahne Sun'ne se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,.. (Ameen)
Dahiney Qadam Par Ek Neki Zyada Aur .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Shakhs Masjid Se Jitna Door Hota Hai Wo Utna Hi Ziyada Sawaab Hasil Karta Hai (Kyunki Namaz Ke Liye Janey Par Dahiney Qadam Par Ek Neki Ziyada Aur Bahiney Qadam Par Ek Gunaah Kum Ho Jata Hai).." - (Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadith no.554) # Sabaq: Beharhaal is Hadees ko Koi Galat Mane Me na ley ,.. Balki Iska Sahi mana ye hai ke jo Masjid Tak Pohochne me jitni jyada mashakkat karega Allah use Utna hi Jyada Sawab ata karega…
Dhoke se Keematein Naa Badhao Hadees of the day Dhoke se Keematein Naa Badhao Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Ek Duje ke liye Dhoke se Keematein na badhao." 📕 Sahih Muslim, Hadees 2565 Is hadith se wajeh hota hai ki humein aapas mein dhoka dekar maal ki qeemat ko badhana nahi chahiye. Is hadith mein maal ki qeemat mein dhoka karke ya doosron ko dhokha dekar apna fayda uthane se roka gaya hai. Allah Hum Sabko Kehne sunne se jyada amal ki toufiq de,Hume Tamam kism ki Burayi se bachaye. Ameen Allahumma Ameen
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Rehmatallil Alameen Se Dua Ki Darkwast .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Mushrikeen Ke Liye Bad-Dua Karne Ki Darkhuwast Ki Gayi,.. *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya - "Mujhe Lanat Karne Wala Banakar Nahin Bheja Gaya, Mujhe Rehmat Banakar Bheja Gaya Hai". - (Sahih Muslim : 6613)
Tum Logo Ki Aurto Ki Baare Me Paakizgi Rakho ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Shakhs Ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Samne Shikayat Pesh Ki Ke, "Mujhe Apni Biwi Ke Kirdar Par Shubah(Shaq) Hai, Ye Baat Mere Liye Takleef Ka Sabab Hai," *Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Tum Logon Ki Aurto Ki Baare Me Paakizgi Rakho Tou Log Tumhari Aurton Ke Baare Me Pakizagi Ikhtiyar Karenge,.." - (Al Jaamius Sageer) ♥ In'sha'llah Ul Azeez!!! Allah Ta'ala hume kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey,..
Ziyada Se Ziyada Sajdey Kiya Kare ۞ Hadees: Ubadah Bin Sabit (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Banda Allah Ta'ala ko Ek Sajda bhi Karta hai, Tou Allah Ta'ala Uskey liye Ek Neki Likhega aur Ek Gunaah Muaf Farma Dega, aur Ek Darja Buland Farmayega Isliye Ziyada se Ziyada Sajdey Kiya Karo." [Sunan Ibn Majah, 1424-Sahih] *Jyaza se jyda Sajdo se muraad Farz aur Sunnat ke alawa jitna ho sakey jyada se jyada nawafil ka bhi ahtmam kiya kare ,.. ♥ In'shaAllah ul Azeez !!! Allah Ta'ala hume kehne sun'ne se jyada Amal ki Taufik Dey .. Ameen ,..
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Ye Wo Log Hongey Jo Allah par Mukammil Tawakkul Rakhte they… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai , Mujhe Jibrayeel (Alahi Salam) ne Jannat me ek bada Mahal dikhaya, jab mai usme dakhil hone laga tou mere sath meri ummat ke 70 hazar log dakhil ho gaye jo bagair hisab kitab ke jannat me jayenge ,. Sahaba ne pucha "ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! wo koun log they ? ,.." Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "ye mere Ummat ke wo log they jo Acche aur burey wakt me Allah ki Zaat par Tawakkul rakhte aur kehte ke jo kuch hai Allah ki taraf se hota…
Sabr Ka Badla .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki: Allah Ta'ala Farmata Hai: "Mere Uss Momin Bandey Ka Jiska Main Koi Aziz Duniya Se Utha Lu Aur Wo Uss Par Sawaab Ki Niyat Se Sabr Kar Le Tou Uska Badla Mere Yahan Jannat Ke Siwa Aur Kuch Nahi.." - (Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith no.6424) ♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ,..
Murdo Se Ibrat Hasil Kiya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - "Uss Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri Jaan Hai! Agar Log Murde Ka Thikana Dekh Le Aur Uss Ka Qalaam (Baatein) Sun Le Tou Mayyat Ko Bhul Jayennge Aur Apni Jaano Par Rone Lagenge. - Jab Murde Ko Takht Par Rakha Jata Hai Tou Iss Ki Rooh Far-Farate Huwe Pukarti Hai Ke, Aye Mere Ahlo Ayaal! Duniya Tumhare Saath Iss Tarah Na Khele Jis Tarah Mere Saath Kheli, - Maine Halaal Aur Haraam Maal Jamaa Kiya Phir Woh Maal Dusro Ke Liye Chhod Aaya - Is Ka Nafaa Tumhare…
Hadees: Jo Shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke… Hadith: 25-April: Ma'mar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke intezaar me ziyada nafa kamane ki garz se cheeze jama kar ke rakhe to woh gunehgaar hai. 📕 Muslim 4206
Aurat Ka 3 Din Se Jyada Tanha Safar Karna Jayaz Nahi ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Aurat Allah Aur Qayamat Ke Din Par Emaan Rakhti Hai Uss Ke Liye Yeh Halaal Nahi Ke Wo Apne Baap, Bhai, Shohar, Bete, Ya Kisi Mehram Ke Bagair 3 Din Ya Iss Se Ziyada Ka Safar Kare" - (Sahih Muslim, Hadith no. 3270, Page#901) • Wajahat: Ulma-e-Karam Ne Iss Ki Hadd Kilometer Me 92km Bayan Farmaee Hai. Wallahu Aalam!