Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Jo Shakhs Acchi Tarah Wuzu kare tou Uske Gunaah Badan se Nikal Jaate hai Yahan tak ki Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal Jaate hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 245
Zyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai Zyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya - "Zyada naa Hasaa karo, Iss liye ke Ziyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees 2305
Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche… Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai: Hadees Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki - So ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah Subhanahu ko yaad kare tou Ek girah khul jati hai phir…
Khush-haal logon ki tarah Na-shukri karne se bacho ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Asma Bint yazeed Ansaria (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke, wo kehti hain ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) mere paas se guzrey, aur mai apni saheliyon ke saath baithi thi. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hamein salaam kiya aur farmaya: "khush-haal logon ki tarah na-shukri karne se bacho..." Maine kaha: "Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! khush-haal logon ki na-shukri kya hoti hai ?.." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Mumkin hai ke tum mein se…
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: “Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.” 📕 Quran, 62:8
7 (Saat) Aise Azkar Jinka Jawab "Allah Ta'ala" Khud Deta Hai ✦ Mahfum-e-Hadees: Anas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ek Aairabi Sahabi (Bedouin) RasoolAllah (ﷺ) ke paas aaya aur kahne laga "Ya RasoolAllah (ﷺ) Mujhe khair (wale Kalimat) seekha dijiye. RasoolAllah (ﷺ) ne uska Hath pakad kar farmaya kaho "Subhanallah Walhamdulillah Wala Ilaha Illallah Wallahu Akbar" Uss Aarabi ne in kalimat ko apni Ungliyoh par Geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta tou RasoolAllah (ﷺ) Muskurane lage aur Uss se farmaya "Tum kyu ek Naummeed shakhs ki tarha…
Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon. Deney wala to Allah hi hai Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega, yaha…
Gheebat ki Hadees : Gheebat Nekiyo ko Jaya kar deti hai Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat ki: "2 Shakh ne Zohar ya Asar ki Namaz padhi aur wah dono Rozdar they, Jab Namaz padh chuke Nabi-e-Karim (ﷺ) ne farmaya 'Tum Dono Wuzu karo aur Namaz ko dobara padho aur Roza pura karo aur dushre din is Roze ki Qaza karna.' Unhone arz kiya 'Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Ye Hukm kis liye ?' Aap (ﷺ) ne farmaya "Tumne falah Shakhs ki Gheebat ki hai." - Islami Akhlaq-O-Aadab, Page#191, Hadith 40 SABAQ: Iss Aahadees se Maloom hota hai ke…
3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai 3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai Ummaha tul Momineen Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "Teen(3) tarah ke logo par se qalam utha diya gaya hai (yaani unke gunah nahi likhe jatey), Ek tou sonewala jab tak ki jag na jayein, aur bachcha jab tak ki wo bada na ho jayein, aur pagal jab tak ki wo hosh me na aaye (yaani achchha na ho jayein)." 📕 Sunan an-Nasa'i, Jild 2,…
Hadees: Bhalayi ka Rasta batlaane wala neki… Hadith: 30-June: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Bhalayi ka Rasta batlaane wala Neki karnewale ki tarah hai. 📕 Tirmidhi 2670
Paani Gataghat na piyo warna falah beemari hoti hai Paani Gataghat na piyo warna falah beemari hoti hai Hadees: Ibne Abi Husain (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Tum Paani Choos kar piyo aur gataaghat naa piyo, is (gataaghat peene) ki wajah se jigar ki beemari hoti hai. 📕 Sunan Kubra Baihaqi, Hadees 15055
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Hadees: Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar… Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah sirka Shahad ko kharab kar deta hai." 📕 Tibrani Kabeer, Hadees 10777