Allh Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Irshad Hai – ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Jo Shakhs Duniya Chahta Ho Tou Hum Usey Jis Qadar Chahtey Hain
Jitna Chahte Hain Jaldi De Dete Hain, Phir Uskey Liye Jahannam Tayyar Kar Rakhi Hai
Jisme Wo Zaleel Aur Khawar(Disgraced And Rejected) Hokar Rahega.
Aur Jo Shakhs Aakhirat Chahta Ho Aur Uske Liye Munasib Koshish Bhi Karta Ho
Aur Wo Momeen Bhi Ho Tou Aise Logon Ki Koshish Maqbool Hogi”.
– (Surah 17 Al-Isra, Ayat: 18-19)
Musalman ki Misaal Samundar ke Jhag jaisi hogi Hadees of the Day Musalman ki Misaal Samundar ke Jhag jaisi hogi Hazrate Soban (R.A) Se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Qareeb hai ki Dusri Qaumein Tum par Aisee Toot Parhegi Jaisa bhuka Khane par Toot parhta hai." Kisi ne Arz kiya - "Ya RasoolAllah (ﷺ) Kya Hum Uss Waqt Bahoot kum Hongey ?" Farmaya ki: "Nahi Balki Tum Uss Zamaney me Bahoot Ziyada Hongey, Lekin Tum Sailab (Ya Samundar) ke Upar Tairtey huye Koodey kachrey (Ya…
Pehalwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: “Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai, Balki Pehlwan tou woh Hai Jo Ghusse ki Halat me Apne Nafs par Qaabu Pa Leta hai.” 📕 Mishkat 2-433, Mujatbai
Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jo Shakhs kisi Ghaib ki khabrein sunaane waale ke paas aaye aur us se kisi cheez ke baare me puche to 40 Raaton tak uss shakhs ki Namaz Qabool nahi hoti." 📕 Sahih Muslim; Hadees 2230 (5821)
Logo ke Darmiyan Sulah Karna Hadees Logo ke Darmiyan Sulah Karna Hadees Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Kya Mai Tumhe Aise Amal Par Aagah Na Karoon Jiska Darja Roze Namaz Aur Sadqe Se Afzal Hai." Farmaya! 'Do Logo ke Darmiyan sulah kara dena.' Saath Hee me yeh bhi farmaya ke "Do Logo ke Darmiyan Fasaad karana Emaan ko Moondhkar(Barbaad kar) rakh deta hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 4919
Allah Subhanahu 60 Saal se upar wale logo ka koi… ✦ Hadith: 60 Saal se jyada umar wale logo ka koi bahana Qubul nahi hoga ✦ Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu ne us insan ke liye uzar(excuse,bahana) ke silsile mein hujjat tamam kar di hai jiski maut ko usne rok kar rakha yaha tak ki wo 60 saal ki umar ko pahuch gaya." (yani kisi insan ki umar 60 ki ho gayee to phir Allah subhanahu ke waha uska koi bahana nahi chalega…
Un Logo ki tarah mat ho jana Un Logo ki tarah mat ho jana “Aur Tum Un Logon ki tarha Mat Hojana Jinhone Allah (ke Ahkaam) ko Bhula diya.” 📕 Quran 59:19
Hadees: Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega… Hadith: 22-April: Anas bin Malik (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟ Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega tou ye Qayamat ke din uske liye wabal hogi. 📕 Shoaib Ul Iman 10710
Aksar logo ka Bahana | Aksar log Humari Aayato se… Aksar logo ka Bahana "Arey Bhasahab! hum Maantey hai ke Mazarparsti (Qabrparsti) ki Talim Islam me nahi milti! lekin aaj Aksar Log kayi zamane se karte aa rahe hai tou kya wo galat ho sakte hai ? .." Masha'Allah ! Isi Tarha ke Jawabat Hume Logon se Miltey hai jab unse pucha jata hai ke falah-falah amal jo Qurano Sunnat se sabit nahi jisey aap Deen samjh ke karte ho tou "Aksar Logo ka Bahana" batakar humare kayi hazrat apne…
Hamne is Quran Me Tarha Tarha se Logo ko Samjhaya ke… Allah Ta'ala Quran me farmata hai ke: "Humne is Quran me tarha tarha se Logo ko Samjhaya ke hosh me Aaye magar wo Haq se door hi bhaage ja rahe hai." - (Al-Quran; Surah Bani Israel 17:41) अल्लाह तआला कुरान में फरमाता है के: "हमने तो इसी क़ुरान में तरह तरह से बयान कर दिया ताकि लोग किसी तरह समझें मगर उससे तो उनकी नफरत ही बढ़ती गई" - (अल-कुरान; सुरह बनी इस्राईल 17:41) For more Islamic messages kindly download…
Logo par Reham karne ke Fayde ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ghussa Control aur Maafi ki Fazilat (Islamic Quotes) "Jo Ghusse ko Pee Jaate hai aur Doosro'n ke Kasoor Muaf kar dete hain, aise log Allah ko bohat pasand hain." (Surah-Al-Imran 3:134) Muafi aur Reham ki Hadees 1️⃣ Hadees:"Jo Shakhs Kisi ko Muaf kar deta hai, Usse Allah Ta'ala Izzat se Sarfaraz karta hai." (Muslim Sharif) 2️⃣ Mafhoom-e-Hadees:Wo Shakhs Jannati hai Jo Raat ko Soney se Pehle sab ko Mua’af kar ke soye. 3️⃣ Mafhoom-e-Hadees:Ek Roz Sayyiduna Musaa…
Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo ❝Allah ne tumhe jo kuch de rakha hai, uske zariye Aakhirat waala ghar banaane ki koshish karo aur duniya me se bhi apne hisse ko nazar andaaz na karo.❞ 📕 Surah Al-Qasas 28:77
Logo ki Zaroorat poori karne wale Allah ke Azab se… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Ta'ala ne Kuch Bando ko Logon ki Zaroorate poori Karne ke liye Paida Farmaya, Log unke Paas Apni Jarurat Le kar Jaate hai, Logo ki Zaroorat poori karne wale Yeh Log Allah ke Azab se Mehfooz rahenge." - (Tabraani Kabeer, 13334) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ अब्दुल्लाह इब्ने उमर (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने…
3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai 3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai Ummaha tul Momineen Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "Teen(3) tarah ke logo par se qalam utha diya gaya hai (yaani unke gunah nahi likhe jatey), Ek tou sonewala jab tak ki jag na jayein, aur bachcha jab tak ki wo bada na ho jayein, aur pagal jab tak ki wo hosh me na aaye (yaani achchha na ho jayein)." 📕 Sunan an-Nasa'i, Jild 2,…