♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Asma Bint yazeed Ansaria (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke,
wo kehti hain ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) mere paas se guzrey,
aur mai apni saheliyon ke saath baithi thi. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hamein salaam kiya aur farmaya:
“khush-haal logon ki tarah na-shukri karne se bacho…”
Maine kaha: “Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! khush-haal logon ki na-shukri kya hoti hai ?..”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Mumkin hai ke tum mein se koi aurat lambi umar apne waldein ke paas be-shohar ki zindagi guzarti rahe.
Phir Allah Ta’ala tumhen khawind ata kare aur (uske zariye) Aulaad ki Neymat bhi de de. Lekin tum kisi din gusse mein aakar uski na-shukri kar baithe aur (khawind ko) ye kahe: ke maine to kabhi tum se koi khair wa bhalai dekhi hi nahi,..”
– (Silsila Ahadees-e-Sahiha 1940)