Hadees of the Day | Jumuah Series
Aksar dekha jata hai ke Juma ke din jab Imam Khudba de rahe hote hai to kayi log aate hi Namaz padhne lag jaate hai, to kya ye amal durust hai. aayiye aahadees ki roshni me iska mutala karte hai.
Juma me Tahiyatul masjid ha hukm
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jab Tum Mein se Koi Jumuah ke Din (Masjid) Aaye Jabki Imaam Khutba de Raha ho tou Woh 2 Raka’tein Padhe aur Un mein Ikhtisaar Kare.”
Maloom hua ke Jumay ki namaaz ke liye masjid mein pahunchne ke baad sabse pehla kaam Tahayyatul Masjid ki adayegi hai. Chahe woh khutba shuru hone se pehle masjid mein aaye ya imam ke khutba shuru karne ke baad.