Rabbish Rahli Sadri Dua : Aye Allah ! Mere kaam ko… Dua for Confidence ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي "Rabbish Rahli Sadri Wa Yassirli Amri Wah Lul Uqdatan Min Lisaani, Yaf Kahu Kauli" 📕 Al-Quran; Surah Taha 20:25-28 Tarjuma: ‟ Aye mere Rab! tu mere liye mera seena khol dey aur isey risalat ka wajan sehne ke liye faila dey, aur mere kaam ko mere liye aasan kar dey, aur meri zubaan ki giroh ko khol dey taaki log meri baat ko…
Bewaon (Widow) aur Miskeeno (Poor) ke kaam aane wale… Bewaon aur Miskeeno ke kaam aane wale ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya "Bewaon (Widow) aur Miskeenon (Gareeb) ke kaam aane wala Allah ki Raah me Jihaad karne wale ke barabar hai, ya Raat bhar Ibadat aur Din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6006
Al-Quran: Agar tum acche kaam karoge to apne hi… Quran: 04-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: ‟Agar tum acche kaam karoge to apne hi fayde ke liye karoge aur bure kaam karoge to bhi wo tumhare liye hi bura hoga.' 📕 Surah Bani Israil 17:7
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85
Kya Allah iman walo ko bagair Aazmaye Chor dega ? Kya Allah imanwalo ko bagair Aazmaye Chor dega? Allah Taala Quran me farmata hai: "Kya logon ne ye samajh liya hai ki (sirf) itna keh dene se ki hum emaan laye chor diye jayenge aur unka imtehan na liya jayega, aur humne tou unn logon ka bhi imtihaan liya jo unse pehle guzar gaye. garaz Allah un logon ko jo sachche (Dil se Emaan laye) hain yaqeenan alahaeda dekhega aur jhoothon ko bhi (alahaeda) zarur dekhega. 📕 Surah Al-Ankabut 29:2
Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
Aisi Baato se Biwi ke Kirdar par Shaq Karna Durust Nahi … Biwi Ke Kirdar Par Shaq Hadees-e-Nabwi ﷺ Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,Ek dehati Nabi-e-Akram (ﷺ) ki khidmat me hazir hua aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ)! Meri Biwi ne kaaley rang ka baccha paida kiya hai aur maine uska inkaar kar diya." Nabi-e-Akram (ﷺ) ne uss dehati se daryaft kiya: "kya Tumhare paas Uoonth hai ?" Dehati ne arz kiya "Ji haan!" Nabi-e-Akram (ﷺ) ne daryaft kiya: "Uska Rang kya hai?" Dehati ne arz kiya "Surkh rang ke…
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…
Jiski Buniyad Shariyat me Nahi Aisa Kaam Deen me… Roman Urduहिंदी Hazrate Ayishah (RaziAllahu Anha) se riwayat hain ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Jisne Deen mein koyi aisa kaam kiya jiski buniyaad shari’at mein nahi wo kaam Mardood hai." - (Sunan Ibn Majah Hadees 14) ✦ Wajahat: Maslan wo tamam Aamaal jinhe hum Neki aur Sawab ki ummid se karte hai lekin jo Sunnat se sabit na ho wo Mardood hai. yaani Allah ke nazdik Radd kiya jayega Roze Qayamat. Kyunki aise Biddat wale aamal karne se hum Shariyat…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Apni Tazeem Karwana Jahannamiyon Ka Kaam Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke - "Jiski Ye Khushi Ho Ke Log Uski Tazeem Ke Liye Khadey Rahey Wo Apna Thikana Jahannum Me Banaye.." - (Tirmizi Sharif) » Sabaq: Doosro'n Se Apni Taarif-wa-Tazeem Karwaana Ya Uski Ummid Rakhna Insan Ke Ghuroormand Hone Ki Alaamat Hai, Lihaja Emaanwalo Ke Liye Itrana Jayej Nahi ,.
Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain ... Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,Mai ne Rasool'Allah (ﷺ) se suna ki - "Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey." *Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya. Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey…
Haq par hote hue Jhagda chor do Haq par hote hue Jhagda chor do Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Mein Ek Mahel Ka Zimmedar Hun Jo Haq Par Hote Hue Zagda Chhod De.” 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 4800 (Sahih)
Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot'ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6772