Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye… Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)" 📕 Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993-Hasan
Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo ❝Allah ne tumhe jo kuch de rakha hai, uske zariye Aakhirat waala ghar banaane ki koshish karo aur duniya me se bhi apne hisse ko nazar andaaz na karo.❞ 📕 Surah Al-Qasas 28:77
Goongi ho Gai aaj kuch Zubaan kehte kehte: Dr. Allama Iqbal Goongi ho gai aaj kuch Zuban kehte kehte, Hichkicha gaya me khud ko Musalman kehte kehte. Ye baat nahi ke Mujhko Rab par yaqeen nahi, Bas darr gaya khud ko Sahib-e-Emaan kehte kehte. Tofeeq na hui mujhe ek waqt ki Namaz ki, Aur chup ho gaya Moazzin Azan kehte kehte, Kisi kafir ne jo poocha ke ye kya hai maheena, Sharm se paani hath se gir gaya Ramzan kehte kehte, Meri Almari me gard se aati Kitab ka jo poochha, Mai gaddh gaya Zameen me Quraan kehte kehte, Ye sun ke chuppi…
Ghar se Nikalne ki Dua Ghar se Nikalne ki Dua | घर से निकलते समय की दुआ - What to say when leaving the home | Dua : Bismil-lah, tawakkaltu AAalal-lah, wala hawla wala quwwata illa billah
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Quraan-e-Kareem ..... ♥ Quraan-e-Kareem ♥ 22 Saal, 2 Maah, 22 Din Me Nazil Hua aur Isme Siparey → 30 Sajdey → 14 Manzil → 7 Surtein → 114 Makki → 86 Madni → 28 Ruku → 540 Aayat → 6236 Huroof → 323760 Zabar → 53243 Zer → 39582 Pesh → 8804 Madd → 1771 Tashadid → 1243 Nuqtey → 105681 1. Sawaal: Quraan Majid Me Waqfe Laazim ( ﻡ) Kitne Hain ? » Jawaab: Quraan Majid Me Kul 87 Waqfe Laazim…
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Aurat Apne Shauhar ke Ghar aur Uske Bacchon ki Zimmedar hai Aurat ki Zimmedari RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Aurat Apne Shauhar ke Ghar aur Uske Bacchon ki Zimmedar hai aur Usse Unke Baare me Poocha Jayega.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 7138📕 Sahih Muslim, Hadees : 1829
Jumma ke Din Ek Ghadi Aesi Aati hai Jis me Hadees of the Day | Jumuah Series Abu Huraira (R.A) riwayat karte hain ki.RasoolAllah (ﷺ) ne Jumme ke Zikr me Ek martaba farmaya - "Jum'ma ke Din Ek Ghadi aesi aati hai Jis me agar koi Musalman Banda Namaz padh raha ho aur koi Cheez Allah se mange tou Allah Rabbul Izzat Usey woh Cheez zarur deta hai. RasoolAllah (ﷺ) ne haath ke Ishare se bataya 'Woh Ghadi bahut thodi si hai.' 📕 Bukhari Sharif, Kitabul Jum'ma, Hadees 935
Kya ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar… Kya Ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar Namaz padh Sakte hain? 👫👬👨👩👦👦 Jawab: Padh Sakte hain ✔️ 👉 Usme Imam Mard hoga, aur Mard ki Saff (Line) Aage lagegi aur Aurto ki saff (Line) uske baad se lagegi (Chahe 1 hi Aurat kyu na ho) 👉 Hadees: Hazrat Anas Bin Malik se riwayat hai ke Unki Nani Malika ne Rasool'Allah ﷺ ko Khana Taiyar Karke Khane ke liye Bulaya. Aap ﷺ ne Khane ke baad Farmaya…
Ghar ke Afraad ki Taraf se "Sadqa-e-Fitr" Sadqa fitr se Murad Ramdan ke Mahine ke pura hone par Namaze Eid se pahle har Musalman shakhs ki taraf se Fitra ada karna hai. ♫ Sadqaa-e-Fitr Ke Audio Bayan Ke Liye is Link Par Jaye ✦ Hadees: Hazrat Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se marvi hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alahi Wasallam) ne Muslmano ke Ghulam, Azad, Mard , Aurat , Bache, Budhe sab par Sadka Farz kiya hai "Ek Saa'a(Taqriban 2.5 kg) Khajuro me aur ek saa'a Jau se aur…
Fazail-e-Quraan: Part 12 (Last) Quran ko Chorne walo ka Anjam: Allah ke Zikr ko yaani Quraan-e-Kareem se Doori Iktiyar Karnewale tou beharhaal Beshumar Nuqsaan Uthayenge. Itna Mumkin nahi Humare liye ke hum sab ka tazkira kar sakey. Hum yaha Chand hi hum Nuqsanaat par gour karenge. 1) Pehla Duniyawi Nuqsaan: Taqleefdeh Zindagi Jo log Quraan Chorr de, Iski Fazilato ka fayda na uthayenge wo duniyawi sabse pahla Nuqsaan yaani "Takleefdeh Zindagi, Buri zindagi, zillat aur ruswayi ki zindagi, Rozi aur Rizq ke Aitbaar se…
Fazail-e-Quraan: Part 2 ✦ Quran ki Sabse Badi Fazilat: Quran-e-Kareem Puri Insaniyat ke liye Sabse badi aur Sabse Azeem Nemat hai , Iski ek Sabse badi Fazilat yeh bhi hai ke jis raat ye Kitab nazil hui uss raat ki Ibadat ko Allah Rabbul Izzat ne Hazar(1000) mahino ki ibadat se Jyada Afzal karar diya, Jiski gawahi Allah Rabbul Izzat ne Apni Kitab me di aur farmaya ke – “ Humne Iss Quraan Ko Qadr Aur Manjilat Waali Raat Me Utaara ”(Surah Dukhan…
Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822