Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi
Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai:
“Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi, phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaogeaur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.”
Al-Quran: Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko… Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho Allah Taala Quran me farmata hai: "Tum aise (kanjus) na (bano ke) ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho aur na (aise fuzool karch ke) hath ko bilkul hi khula chdod do; ke jis ke nateeje me tumhe qabile malamat aur khali hath ho kar baithna padey." 📕 Surah Bani Israeel, 17:29
Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Allah Taala ka farman hai: "Aur Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Pas Woh Zameen mein Kahin (Bhaag kar Allah ko) Aajiz Nahi kar Sakta, Na Allah ke Siwa aur koi Uske Madadgaar Honge, Yeh Log Khuli Gumraahi mein hain." 📕 Surah Al-Ahqaaf, 46:32
Jis se Deeni Fayda na pohche us se Door Raho Mafhoom-e-Hadees Jis se Deeni Fayda na pohche us se Door Raho Hazarte Malik bin Deenar ne apne Daamaad Mughera bin Shoba se farmaya: Aye Mughera! "Jis Bhai Ya Saathi ki Dosti tumhe Deeni Fayda na pohanchey Tum Uski Dosti se bacho taa ke Tum Mehfooz-wa-Salamat raho." 📕 Hilya-Tul-Auliya, Hadees-8555, Jild-6, Page-267
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Jis Seene me kuch bhi Quraan na ho wo Wiraan Ghar ki… Wiraan Ghar ki Misaal Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Seene me kuch bhi Quraan majeed na ho, Wo wiraan ghar ki misaal hai." 📚 Tirmizi J:4 S:419, Hadees:2922
Jis se Log Bhalai Ki Umeed Na Rakh Paye wo Sabse… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me Bad Tareen Shaksh wo hai, Jis se Log Bhalai Ki Umeed Na Karey aur us ke Sharr se Mehfooz na ho" - (Tirmizi, 2263) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैराह (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "तुम में बद्तरीन शख्स वो है, जिस से लोग भलाई की उम्मीद न करे और उस के शर्र्र से महफूज़ न हो"…
Ek Jumah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Ek Jummah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.” 📕 Ibn Maaja, Hadees: 1086 (Sahih)
Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai: Hadees Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jis me Fahash (behoodah baate ya sakht kalaami) ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai aur jis me Hayaa ho, woh us ko Khoobsoorat bana deti hai." 📕 Tirmizi, Hadees 1974
Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Ek Aurat Hamesha Jab Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti, Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar Le Jayega Aur Dua Dega. Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata Aur Uss Roti Ko Utha Kar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki "Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega".…
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… ✦ Hadith: Roman Urdu: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz ho aur wo usey chupaye tou Qayamat ke din usey dozakh ki Aag ki lagaam daal kar laya jayega." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272, English 261 ✦ English Hadith: It was narrated from Abu Hurairah that: The Prophet (ﷺ) said: "There is no man who memorizes knowledge then conceals it, but he will be…
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Jis ne Meri Sunnat se Muhabbat ki Usne Mujh se Mohabbat ki - Roman Urdu - ۞ Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) ka irshade Mubarak hai ke: "Jis ne Meri Sunnat se Mohabbat ki (Yaani Uspar Amal kiya), Tou Usne Mujh se Mohabbat ki aur jis ne Mujh se Mohabbat ki wo Jannat me Mere saath hoga." 📕 Jami at-Tirmidhi 2678 - हिंदी - ۞ हदिस: अल्लाह के रसूल (ﷺ) का इरशादे मुबारक है के : "जिस ने मेरी सुन्नत से मोहब्बत की (यानी उसपर अमल किया), तो उसने मुझ से मोहब्बत…
Beti aur Bete me Is Hadd Tak Barabari Kare ✦ Roman Urdu ♥ Mafhoom-e-Hadees: Sayyedina Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) se Riyawat Hai ke, Ek Shakhs Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) Ke Paas Baitha Hua Tha Ke Uska Ek Chhota Beta Aagaya, Usne Usey Pakda, Chuma Aur Apne Godh me Bitha Liya, Kuch Der Baad Uski Chhoti Beti Aayi, Usne Usay Pakda (aur Baghayr Chume ) Ek Taraf Bitha Diya, Ye Dekhkar Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya : “Tumne Un Dono Ke Darmiyan Adal Nahi Kiya.” - Silsilatus Sahiha…
Jo Shakhs Shab e Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh ... ۞ Hadees about Shab e Qadr ki Raat: Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Is (Shab-e-Qadr ki) Raat se Mehroom raha woh har tarah ki Khair aur Barkat se Mehroom raha." 📕 Ibne Majah : 1644-Sahih