۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
✓ JazakAllah ka Matlab (meaning)
Jazaak jo lafz hai wo “Jazaa“ root word se aaya hai. jo ki mashoor Arabic-English dictionary Al mawrid me moujud hai. jiske 2 maani hai aur wo bilkul uske opposite hain.
Jazaa ka sahi maani jo hai wo “Sawab” ya “Sazaa” koi bhi ho sakta hai. isliye “JazakAllah” ka matlab “Allah aapko Sawab de” ya “sazaa de” aisa bhi ho sakta hai. jabki “jazakAllah khair” ka matlab “Allah aapko sawab de aur behtar de.” Isliye JazakAllah khair kehna sahi tareeka hai jabki sirf JazakAllah kehna teek nahin.
Jazak Allahu Khair situation par depend hai : Jaisa ke Mardon ke liye “jazakAllahu khair”, Auraton ke liye Jazaki Allahu khair. Plural (yani ek se zyada) Jazakum Allahu khair hai.
Note: JazakAllah khair ke sath Barakallahu Feek bhi milayiye jiska matlab hai “Allah ke rehmaten / Barqate ho aap par.”
✓ Jazak Allahu Khairan ki Ahmiyat:
1). Usamah bin Zaid (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟Agar kisi ke saath koi neki ka suluq kiya gaya aur usne neki karne wale se kaha Jazak Allahu khairan (Allah aapko achcha sila ata farmaye), tou usne uski puri tarif kar di.” [Jamia Tirimizi, Jild 1, 2101-Hasan]
2). Umar ibn Khattaab (RaziAllahu anhu) ne farmaya:
“Agar logo ko jazak Allahu Khairan kahne ka sawab malum ho jaye tou wo ek dusre ko ye bahut zyada kahne lag jaye” [ Musannaf Ibn Abi Shaybah, 26519 ]
✓ Jazak Allahu Khairan ka Jawab:
1). Hadith: Ek baar Usaid bin Haider (R.A) ne RasoolAllah (ﷺ) se farmaya, Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Jazak Allahu Khairan (Allah aapko achcha sila ata farmaye).
Tou unke jawab me RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Wa antum fa Jazakum Allahu Khairan ( Aur aapko bhi, Allah aapko bhi achcha sila ata farmaye)”
📕 Sahih Ibn Hibban, 7436 -Hasan
2). Hadith: Abu Hurairah (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Wo Allah ka ShukrGhuzar nahi ho sakta jo bando ka Shukrguzar na ho”
📕 Sunan Abu Dawood, Vol 3,1383-Sahih
apka aap kaunsa hai aur link bhejiye
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.uenofc.app