Jannat ka Khazana: La Houla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem

Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa Billah Hindi

Jannat ka Khazana

۞ Hadees: Abu Musa Ashari (R.Au) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Kya Main tumhein Jannat ke khazano mein se ek khazana batlaau ?”
Maine kaha (Zarur) batalaiyye.

Aap (ﷺ) ne farmaya , ‘Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa Billah‘ (Allah ki Madad ke bagair Gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki Quwwat nahi.)

📕 Sahih Muslim, Jild 6, Hadees 6868

Ek aur riwayat me aata hai ke:
“Ye Kalma 99 Bimaariyo ki Dawa hai.’ Jis me se halki Bimaari Ranj-o-Gam aur Pareshani iss ko padhne se door ho jaati hai.”

📕 Tirmizi Shareef


La Houla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem

Tarjuma: Koi Quwat nahi bachaane waali siwaye Allah ke jo Azeem-tar hai

✦ ADAB: La Houla Wala pura parhana hi behtar hai, kyunki iska aadha padhna Allah ke Qudrat ki naframani hai jaise “La Houla Wala Quwa’ta” yaani koi Kuwwat nahi bachane waali. Lihaza humesha parhe tou pura kalma hi padhe. Kyunki wo Quwwat (Allah) hai bachane waali jo har cheez par qaadir hai jo Azeem-tar hai.

0 thoughts on “Jannat ka Khazana: La Houla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *