Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai

Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai [Hadees Sahih Bukhari 71]

Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai

Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya:

“Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon.
Deney wala to Allah hi hai

Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega
Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega, yaha tak ke Allah ka hukm (Qayamat) aa jaye (aur yeh aalam fana ho jaye).”

📕 Sahih Bukhari; Hadees: 71


SubhanAllah!

Allah Ta’ala hume kehne sunne se jyada amal ki toufiq ata farmaye,

Hum Tamam ko Deen ki Sahih Samjh ata farmaye,

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,

Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *