Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki zindagi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ अल्लाह तआला कुरआन में फरमाता है: ❝ क्या तुम लोग आखिरत की ज़िन्दगी के मुकाबले दुनिया की जिन्दगी पर राजी हो गए ? दुनिया का माल व मताअ तो आखिरत के मुकाबले कुछ भी नहीं। ❞ ❝ Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki zindagi par razi ho gaye ? Dunia ka maal wa matah to aakhirat ke muqable kuch bhi nahi. ❞ 📕 Surah Taubah 9:38 (इस लिये किसी इन्सान के लिये मुनासिब नहीं है के वह आखिरत को भूलकर जिन्दगी गुज़ारे या दुनिया के थोड़े से साजो सामान की खातिर अपनी आखिरत…
Islamic Quiz 273 Nabi (ﷺ) ki Wiladat jis saal hui us Saal kounsa mashoor waqia pesh aaya? Options Are 👇 A. Aamul Feel B. Aamul Huzn C. Aamul Wufud D. Aamul Hijrah GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Aamul Feel Historical Evidence ki maane to Nabi (ﷺ) ki wiladat Isa Alahi Salam ke Dunia se uthaye jaane ke 570 saal baad yaani 570 Isvi me hui thi, yah saal ek aur wakiye ke liye mashoor hai jiska jikr Quran me Aamul Feel yaani "Hathiyo wala Saal" ke naam se aata hai. Aamul Feel kya hai, iska zikr…
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar Hadees of the Day Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jannat mein Ek Kooda Rakhne Jitni Jagah Duniya aur is mein Jo kuch hai, Sab se Behtar hai." 📕 Sahih Bukhari: 6415
Islamic Quiz 151 Paak Daman Aurto par Tohmat Lagane Wale ke Bare me Allah ne Kya farmaya hai? A. Duniya aur Aakhirat me Lanat hai Unpar B. Jahannami hai C. Jannat ki Khushboo se Mehroom kiya jayega D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Duniya aur Aakhirat me Lanat hai Unpar Daleel : ۞ Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai – "Yaad rakho ke jo log Paak Daman Bholi Bhaali Musalman Aurton per tohmat lagate hain Unpar Dunia aur Aakhirat mein lanat hai aur unn ko uss din Zabardast Azab hoga jis din…
Islamic Quiz 229 Allah Ta’ala ko Humaari Qurbaniyon ka kounsa hissa pahunchta hai? Options Are 👇 A. Khoon B. Gosht C. Taqwa D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Taqwa Allah Ta’ala ko Humhari Qurbaniyon se Sirf Taqwa (Parhezgaari) Pohochta hai. Daleel : ۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Allah Ta’ala ko Tumhari Qurbaniyon ka Gosht nahi pahunchta, Na un ke khoon balki usey to tumhaare dil ki parhezgaari (Taqwa) pahunchti hai.” 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Download Reel Coming Soon ...
Islamic Quiz 182 Wo Kaunsi Surah Hain Jiske Bagair Namaz Mukammal Nahi Hoti? A. Surah Ikhlas B. Surah Yasin C. Surah Fateha D. Surah Falaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Surah Fateha Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Surah Fateha na padhi uski Namaz nahi hui." 📕 Sahih Bukhari 756
Islamic Quiz 172 Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain? A. Fajr aur Zohar B. Fajr aur Asr C. Fajr aur Maghrib D. Fajr aur Isha GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Fajr aur Isha Daleel : ۞ Hadees: Ubayy ibn Ka’b (R.A) se rivayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Ye do Namazein ( Fajar aur Isha ) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do Namazon ka kitna Sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey.” 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
Islamic Quiz 143 In me se Imaan aur Kufr ke Darmiyaan Farq karne waali Cheez kya hai ? A. Roza Chorrna B. Hajj Nahi Karna C. Sadqa Nahi Dena D. Namaz Ka Chorna GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Namaz Ka Chorna Daleel : Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne waali cheez Namaz hai." 📕 Jami At-Tirmidhi: 2618
Islamic Quiz 206 Apne Walid ko Chod ke Kisi aur ko Walid Kehna kaisa hain? A. Bola Ja sakta hai B. Saghirah Gunah hai C. Sab se bada Bohtan hai D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sab se bada Bohtan hai Daleel : Wasila bin asqa bayan karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sab se bada Bohtan aur Jhut ye hai ki aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna Baap kahe." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3509
Islamic Quiz 140 Qayamat ke Din Kaun Hain Jiski Zuban Aag ki Hogi? A. Sood Khor B. Rishwat Khor C. Dogla Insaan D. Walidain Ka Nafarman GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Dogla Insaan Daleel : Nabi e Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Jo Shaqs Duniya mein Dogla hoga Roz-e-Qayamat Uski Zuban Aag ki Hogi." 📕 Mishkaat Ul Masabeeh 4846
Islamic Quiz 141 Aahadees ke mutabik "Jo Aurat Khushboo lagaye Wo koun hai?" A. Faasiq B. Munafiq C. Zaania D. Mushriq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Zaniya Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne farmaye: ""Jo Aurat Khushbu lagaye aur phir logon ke saamne se guzre taaqi wo uski khusboo sunghe to woh aurat Zaniya hai." 📕 Sunan Nisai 5129-Hasan Aur bhi Dekhe: Aurat kis tarah ka Khushbu Laga sakti hai by Adv Faiz Sayed.
Islamic Quiz 200 Kya Kaabe ki Qasam khana Sahih hai? A. Haa! Qasam khane me koi Harz nahi B. Kaabe ki Qasam khana Shirk hai C. Kaabe ki Qasam khana Biddat hai D. Sahih Jawab ka intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Kaabe ki Qasam khana Shirk hai Daleel : ۞ Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke : Hazrat Abdullah Bin Omer (R.A) ne kisi ko Suna ke: "Wo Kaabe Ki Qasam kha raha tha toh Inhone Usse kaha Beshak Main ne Nabi-e-Kareem (ﷺ) ko farmate Hue Suna hain Jisne Ghairullah ki Qasam khai Usne…
Islamic Quiz 209 In mein se kin logon ki wajah se (Allah Subhanahu ki taraf se) Madad aur Rizq diya jata hai? A. Kamzor ki wajah se B. Musafiro ki wajah se C. Mazloom ki wajah se D. Sahih Jawab ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Kamzor ki wajah se Daleel : Mus'ab bin Sad (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: "Tum logon ko Kamzor Maazur logon ki Duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai." 📕 Sahih Bukhari, Jild 4, 2896