Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 220 Agar Hum Chahte hai ke Allah Hum par Reham kare tou Hume kya karna chahiye? Options Are 👇 A. Aaba-o-Azdad ke Deen Ki Pairwi B. Apne Imamo Ki Taqleed C. Allah aur Rasool ki Itaat D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Allah aur Rasool ki Itaat Beshaq! Allah Hum Par tab Reham karega Jab Hum Allah Aur Rasool ki Ita’at karenge. Daleel : Allah Taala Quran e Kareem me farmata hai: “ita-at karo Allah ki aur uske Rasool kita’aki tum par Reham kiya jaaye” 📕 Surah Aale Imran 3:132…
Islamic Quiz 170 Jo Kisi Musalman ke Aib (Burayi) ko Chupaye Uske ke liye Kya Khushkhabri hain? A. Sagheera Gunaah Muaf Ho jayenge B. Kabeera Gunaah Muaf Ho jayenge C. Allah Qayamat me Uske Aib Chupayega D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Allah Qayamat me Uske Aib Chupayega Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shaqs Kisi Muslaman Ke Aib Ko Chupaye Allah Taala Qayamat Mein Uske Aib Chupayega." 📕 Sahih Bukhari 2442
Islamic Quiz 181 Woh Kounsi Surah hai jiski Ek hi Aayat mein Allah Subhanahu ke 9 naam liye gaye hain? A Surah Aal-e-Imran B Surah Al-Hashar C. Surah Baqrah D Surah Anbiya GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Surah Al-Hashar Daleel : Surah Al-Hashr ki Aayat 23 me Allah Taala ke 9 Naam aaye hai. هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْمَلِكُ الْقُدُّوسُ السَّلَامُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ ۚ سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ 1. Allah2. Al-Malik3. Al-Quddus4. As-Salam5. Al-Muameen6. Al-Muhaimeen7. Al-Aziz8. Al-Jabbar9. Al-Mutakabbir 📕 Al-Quran, Surah Al-Hashr
Islamic Quiz 208 Allah ke darr se koi Cheez Chorne ka kya fayda hai? A. Wah mil jata hai B. Us se behtar milta hai C. Usko Fanah kiya jata hai D. Sahih Jawab ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Us se behtar milta hai Daleel : RasoolAllah (ﷺ) formate hai: “Tum Jab kisi Cheez ko Allah subhanahu ke darr se chorr doge to Allah subhanahu us se behtar ata farmayega.” 📕 Musnade Ahmed, Hadees 8944-Sahih
Islamic Quiz 179 Kaunse shakhs ke liye irshad farmaya gaya hai ke wo Allah Subhanahu se bahut door hain? A. Na shukri karne wale B. Bahut ziyada behas karne wale C. Jiska Dil Sakht ho D. Inmein se koi nahi GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Jiska Dil Sakht ho Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Allah Subhnahu ke Zikr ke siwa ziyada baatein na kiya karo kuyke Allah Subhanahu ke zikr ke siwa ziyada baatein dil ki sakhti Qasadat (yani Sakhti) ka baais hain aur Sakht Dil shakhs Allah Subhnahu se koso door hain.“ 📕 Mishkat…
Islamic Quiz 144 In me se wo koun hai jo Allah Subhanahu se Chor ki haalat me milega? A. Jo Maal gin gin kar rakhta hai B. Jo Kanjusi Kare C. Jo Qarz wapas karne ki niyat naa rakhe D. Jo Biwi me insaf na kare GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Jo Qarz wapas karne ki niyat naa rakhe Daleel : Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jo Qarz le aur usko adaa karne ki Niyat na rakhta ho toh Wo Allah Subhanahu se Chor ho kar (Chor ki Haalat me) milega." 📕 Sunnan e…
Islamic Quiz 149 Wo Kounsa Amal hai jo Halal tou hai lekin Allah Ta’ala ko sakht Napasand hai? A. Sagayi B. Talaq C. Walima D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Talaq Daleel : ۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya – “Saari Halaal Cheezo me Allah Ta’ala ke Nazdiq Sabse Napasan’dida Cheez Talaaq (Divorce) hai.” 📕 Sunan Ibn Majah, Arabic Ref.2096 Rahi baat Sagayi ki tou Islam me Sagayi ki koi sharayi hasiyat hi nahi aur Walima ki to Walima Sunnat se Sabit hai. Allah Taala Hume Kehne Sunne se jyada amal ki toufik…
Islamic Quiz 257 Allah Taala ko apne bande ka Kaunsa Amal sabse Zyada pasand hai ? Options Are 👇 A. Waqt par Namaz padhna B. Waqt par Quran padhna C. Wakt par Umrah Karna D. Wat par Zakat dena GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Waqt par Namaz padhna Abdullah bin Masood (R.A) ne RasoolAllah ﷺ se pucha, "Kounsa kaam ALLAH ko sabse ziyada pasand hai?" Aap ﷺ ne farmaya "Waqt par Namaz Padhna" , pucha ki phir kaunsa ? farmaya "Waldein ke saath achcha suluk karna", pucha ki phir kaunsa ?Aap ﷺ ne farmaya ki "ALLAH…
Islamic Quiz 209 In mein se kin logon ki wajah se (Allah Subhanahu ki taraf se) Madad aur Rizq diya jata hai? A. Kamzor ki wajah se B. Musafiro ki wajah se C. Mazloom ki wajah se D. Sahih Jawab ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Kamzor ki wajah se Daleel : Mus'ab bin Sad (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: "Tum logon ko Kamzor Maazur logon ki Duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai." 📕 Sahih Bukhari, Jild 4, 2896
Islamic Quiz 134 in me se Kiske Zariye Allah Subhanahu kisi Qaum ko Bulandi ya Zillat deta hain? A. Namaz B. Roza C. Quraan D. Hajj GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Quraan Daleel : Syedna Umar bin Khattab (R.A) bayan karte hain ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Allah Subhanahu taala is Kitaab (yaani Quraan) ke zariye baaz Qaumon ko rifaten (bulandi/heights) ataa karta hain aur baaz ko zaleel kar deta hain.” 📕 Musnad Ahmed; Hadees:8326-Sahih
Islamic Quiz 159 Kaunsi Cheez Jannat me Jaane ki Zyada Wajah Banegi? | A). Raaste se Takleef deh cheez hatana | B). Nafil Roze Rakhna | C). Aulad ki Tarbiyat Karna | D). Allah ka Darr aur Acche Akhlaq
Islamic Quiz 169 Wo Koun hain Jiske baare me Nabi (ﷺ) ne farmaya "Iski Baddua se Darte rehna Iske aur Allah Taala ke darmiyan koi Parda nahi hota?" A. Ghareeb ki Baddua B. Dost ki Baddua C. Mazloom ki Baddua D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Mazloom ki Baddua Mazloom yaani jispar Zulm hua woh shakhs Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Maaz (R.A.) ko Jab Yemen bheja toh Aap ne Inhe hidayath farmayi ke: "Mazloom ki Baddua se Darte Rehna ke Iske aur Allah Taala ke Darmiyan koi Parda nahi hota." 📕 Sahih…
Islamic Quiz 130 Allah Subhanahu Qayamat ke din Inme se kis Ka chehra dozakh se Mehfuz rakhega? A. Jiski Zuban se dusra Musalman Mehfuz rahe B. Musalman ko kafan dene wale C. Musalman ki Izzat ki hifazat karnewala D. Sahih Jawab ka intezar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Musalman ki Izzat ki hifazat karnewala Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jo Shaks apne Bhai ki Izzat ( Uske gair mojudgi main) bachaye Allah Subhanahu Qayamat ke din Uske Chehre ko Dozakh se bachaega.” 📕 Jamia Tirmaizi Jild 2…