Allah Ta’ala Ne Apne Bando Ko Insaaf Ke Muamle Me Sakht Hidayat Ki,.. Aur Gour Se Dekha Jaye Tou Quraan Ka Paigaam Hi Insaaf Par Madani hai ,.. Tou Aayiye Iske Talluk Se Bus Ek hi Aayat Par Hum Gour Karte Hai Ki Insaaf ki Kitni Ahmyat Aur Wusat Hai Islam Me ,..
Allah Rabbul Izzat Isi Taaluk Se Ek Aayat me Farmata Hai –
♥ Al-Quran: Aye Emaan Walo! Insaaf Par Qayam Raho, Aur Allah Ki Taraf Gawahii Do,
Chahey Apni Jaano Par Ho, Ya Apney Maa-Baap Aur Rishteydaron Par,
Chahey Koi Maaldaar Ho Ya Faqeer, Allah Inka Tumse Ziyada Khair Khwah Hai”
– (Surah: An-Nisa, Aayat-135)
– Yaani Koi Maaldaar Ho Ya Gareeb, Unchey Rutbe Wala Ho Ya Na Ho ,. Apna Ho Ya Paraya, Insaaf Har Shakhs ke Liye Wohi hai,.. Aur Isme Koi Raddo-Baddal Ya Rishwat ka Mu’amla Nahi Ho Sakta ,..
Lekin Afsos Ki baat hai ke –
Aaj Hum Allah Aur Uske Rasool Ki Pakiza Shariyat Ke Khilaaf Jakar Kis Qadar Na-Insaafi me Mubtela hai,.. Beharhaal Bataney Ki Jarurat hi Nahi ,..
*Allah Muaf Karey – Agar Do Logon me Jhagda ho Jaye,. Aur Galati Se bhi Mu’amla Mere Paas Aajaye Tou Mai Uske Haq me Faisla Kar Deta Hu Jisko Mai Pehchanta hu, Aur Jo Mera Kareebi Hai ,.. Subhan’Allah!
Yahi Tou Haalat hai Humari Aaj Insaf Ke Mu’amle Me ,.. Aur Is Se Koi Mustasna Nahi ,… Har Dusra Tisra Shakhs Ismey Mulawwis hai ,..
*Allah Reham Karey ,.
Jabki Hum Tou Uss Pakiza Shariyat Ke Man’ne Wale Hai Jo Hume Har Haal me Insaf ka Hukm Deti hai,..
Fir Chahe Faisla Mere Apne ya Apno Ke Khilaf hi Kyu Na Jaata Ho ,..
# SABAQ: Tou Beharhaal Hume Chahiye Ke Har Haal me Insaaf kare ,..
Kyunki Humare Mua’mlaat , Humare Amaal , Humare Faisle Koi Dekhey Ya Na Dekhey ,
Lekin Wo Aalimul Gaib Allah Rabbul Izzat Jarur Dekh Raha Hai ,..
Aur Hume Hisab Dena Hai Apne Rab Ko,.. Lihaja Na-Insaafi Se Bohot Ahtiyaat Karey ,..
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Kehene Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Dey ,..
# Hume Har Haal me Insafpasand Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.