Hiqayat (Part 43) » Ayyub (Alaihay Salam)

• Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sabr Ki Aazmaish Me Maal-o-Doulat Wa Bibwi Aur Aulaad Se Mehroom Hona!

Aziz Dosto ,… Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ka Sab Kuch Fanaa Ho Jaane Aur Bimaar Ho Jaane Ke Baad Unke Apne Sabhi Dost Ahebaab, Rishtedaar, Ham- Nasheen Sabhi Ne Saath Chhodh Diya. Koi Meharbaan Aap Ka Haal Poochne Tak Na Aata. Kabhi–Kabhi Aap Ke Do (2) Bhai Milne Aate, Lekin Aap Ki Bimaari Ki Wazzah Se Aap Ke Qareeb Na Aate, Bas Door Se Khair Kairiyat Poochte Aur Chale Jaate. Lekin Aap Ki Biwi Ne Aap Ka Saath Na Chhodha. Unhone Apne Shauhar (Khaawind, Husband) Ki Mohabbat Safaqqat Aur Guzre Huve Achche Dino Ke Ahesanaat Ki Poori–Poori Paasdari Nibhayee. Aap Ki Bimaari Me Bhi Aap Ki Musalsal Dekhbhal Karti Rahi. Kisi Bhi Lamha Aap Se Juda Na Huyee.

Woh Aap Ki Har Kism Ki Zimmedari Nibhati Aur Aap Ki Aur Doosri Zaroorato Ko Pura Karne Ki Koshish Karti. Yahaa Tak Ki Aap Ki Timaardari Karte Karte Unki Haalat Bhi Achchi Na Rahi. Haalat Yahaa Tak Pahooch Gaye Ki Unke Paas Koi Paisa (Rupiya) Bhi Baqi Na Raha. Lekin Unhone Himmat Na Haari. Dusro Ke Gharo Me Din Bhar Majdoori Karti Aur Un Paiso Se Apne Shauhar Ke Khaane Pine Ka Aur Dawaa Ka Intezaam Karti.

Itni Mehnat Aur Mashaqqat Aur Lachaari Ke Bavojood Bhi Uss Allah Ki Bandi Ne Har Waqt Sabar Kiya Aur Allah Ta’ala Ka Shuqr Hi Adaa Karti Rahi. Har Waqt Unki Zubaan Pe Sirf Eik Hi Kalmaa Hota “Inna Lillahe Wa Inna Ilaihe Razewoon” Yani Hum Allah Ki Taraf Se Hai Aur Allah Hi Ki Taraf Lout Jaane Wale Hai – Subhan Allah

Aap Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Bimaari Hadhdh Se Jiyada Badh Gayee. Aap Ke Jism Ka Sara Gost Sadh Aur Gal Gayaa Aur Aap Ki Haddiya Nazar Aane Lagi. Aap Ki Biwi Aap Ke Liye Raakh Le Aati Aur Use Aap Ke Niche Bicha Deti. Jab Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Haalat Bad Se Badtar Ho Gayee Toh Eik Din Aap Ki Biwi Ne Ro–Ro Kar Aap Se Arz Kiya “Aye Mere Sartaj ! Aye Allah Ke Nabi ! Agar Aap Allah Ta’ala Se Duwaa Karege Toh Allah Ta’ala Aap Ko Iss Bimaari Se Zaroor Shifa Dega Aur Aap Ko Sehatyaab Karega”.

Dosto ,… Itne Dukh Dard, Takleef, Bimaari, Musibat Aur Pareshani Ke Baavojood Bhi Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Apni Biwi Se Farmaya Ke “Maine Sehat Aur Tandrusti Me Apni Zindagi Ke (70) Saal Ka Arsa (Waqt) Guzaara Hai . Toh Kya Main Allah Ke Liye (70) Saal Is Musibat Aur Bimaari Par Sabar Nahi Kar Sakta”.

Aap Huzur-e–Aqdas, Sardaar–e–Ambiya Hazrat Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Logo Me Sab Se Jiyada Musibat , Dukh–Dard, Takleef Aur Pareshani, Ambiya (Alaihay Salam) Ko Uthhani Padhi, Fir Salehin Bande Ko Fir Darza Ba Darza Aur Dusre Logo Ko” .’
Aur Aap Hazrat Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Aadmi Se Us Ke Deen (Imaan) Ke Hisaab Se Imtehaan Liya Jata Hai. Agar Us Ke Deen (Imaan) Me Jiyaada Pukhtagi (Mazbooti) Ho Toh Uss Ki Musibat (Aazmayeesh) Me Aur Jiyada Izaafa Kar Diya Jata Hai.

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Par Musibat, Dukh–Dard Aur Taklifo Ki Baarish Huyee, Lekin Jaise–Jaise Un Ki Takleef Badhti Gayee, Unke Sabar–O-Isteqaamat Aur Hamd–O–Shuqr Allah Wandi Me Bhi Izaafa Hota Gaya, Yahaa Tak Ki Aap Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Sabar–O–Isteqaamat Ki Misaal Ban Gaye. Aur Log Inn Ki Musibato Ko Bataur Misaal Ke Yaad Karne Lage ,..

Aziz Dosto ,…Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ki Zauzah Mohtarma (Biwi, Wife) Logo Ke Gharo Me Mehnat Mazdoori Karti. Aur Mazdoori Se Haasil Rupiyo Se Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ke Liye Khaane Peene Aur Dawayeeyo Ka Intezaam Karti. Lekin Shaitaan Iblees Ko Ye Bhi Bardast Na Huwa, Usne Basti Walo (Bani Israyeel) Ko Baheqaya Ke Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi Ko Koi Bhi Sakhsh Apne Gharo Me Kaam Na De. Kyonki Unke Shauhar (Husband) Ko Bahut Khatarnak Bimaari Hai, Aur Un ki Biwi Un Ke Hi Saath Raheti Hai. Kahi Aisa Na Ho Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Bimaari Un Ki Biwi Ki Wazzah Se Tum Logo Ko Lag Jaaye. Aur Tum Log Bhi Bimaari Me Mubtila Ho Jawwo, Kyonki Ye Bimari Chhoone Se Failti Hai.

Basti Walo Ne Jab Ye Baate Suni Toh Un Logo Ne Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi Ko Kaam Dena Band Kar Diya. Aap Ki Biwi Ne Bahut Koshish Ki Ke Unhe Koi Kaam Mil Jaaye. Lekin Koi Bhi Unhe Apne Ghar Me Daakhil Hone Ki Izazat Dene Ko Tayyar Na Huwaa.

Dosto ,… Eik Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi Ke Sir Ke Baal Bahut Khoobsurat The. Aap Usi Shahar Ki Eik Raisjaadi (Ameer Aurat) Ke Paas Tashreef Le Gayee Aur Apne Sir Ki Eik Taraf Ke Baal Uss Ko Bech Diya. Uss Ameerzadi Ne Iss Ke Badle Me Aap Ko Bahut Shaandar Khana Diya. Wo Khana Lekar Aap Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Khidmat Me Pahoonchi. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Itna Shaandar Khaana Dekh Kar Bahut Hairaan Huve.

Agle Din Fir Kisi Ne Aap Ko Kaam Na Diya, Aur Iss Baar Bhi Aap Ne Apne Sir Ke Dusre Taraf Ke Baal Bhi Uss Ameerzadi Ko Bech Diye Aur Khaana Le Kar Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Khidmat Me Haazir Huyee. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Bahut Hairaan Huve Aur Farmaya “Allah Ki Kasam ! Main Khaana Nahi Khawooga , Jab Tak Aap Ye Nahi Bata Deti Ki Ye Khana Kahaa Se Aaya Hai ? “

Aap Ki Biwi Ne Apne Sir Se Dupatta Hataya Toh Un Ke Sir Ke Baal Munde (Kate) Huve Dikhe. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Bargaahe Ilaahi Me Arz Kiya “Aye Allah ! Mujhe Pahoonchi Hai Bahut Takleef Aur Tu RAHEMAN Aur RAHIM Hai.”

Dosto ,.. Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ke Do Bhai The Jo Aap Se Bahut Mohabbat Karte The. EIK Din Woh Dono Bhai Aap Se Milne Ke Liye Aaye. Lekin Badboo Ki Wazaah Se Aap Ke Qareeb Na Aaye. Dono Khadhe Ho Kar Aapas Me Baate Karne Lage. Eik Ne Kaha “Agar Ayyub Me Koi Bhi Bhalayee Ya Achchayee Hoti Toh Woh Iss Qadar Bimaari Me Mubtila Nahi Hote”,

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Apne Bhaiyo Ki Baate Sun Li Aur Iss Qadar Roye Ke Iss Ke Pahele Kisi Gam,Takleef Aur Musibat Par Bhi Na Roye Hoge. Fir Allah Ki Baargaah Me Arz Kiya “Aye MAULA-e-KARIM ! TU Jaanta Hai Meri Koi Raat Aisi Nahi Guzri Ki Maine Khud Khaana Khaaya Ho Aur Mere Ilm Me Koi Shakhsh Bhookha Soya Ho, Toh Meri Tashdeeq Farma De. Allah Taata Ne Aasmaan Se Tashdeeq Farmaa Di Jab Ki Aap Ke Dono Bhai Sunn Rahe The .

Fir Aap Ne Allah Ki Baargaah Me Arz Ki ”Aye Mere Parwardigaar ! Agar TU Jaanta Hai Ki Mere Paas Do Kameez (Shirts) Ho Aur Maine Uss Me Se Eik Kisi Shakhsh Ko Teri Raah Me Na Di Ho. TU Meri Tashdeeq Farmaa De. Allah Taala Ne Aap Ki Tashdeeq Farma Di, Jab Ki Dono Bhai Ye Tashdeeq Apne Kaano Se Sunn Rahe They.

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Leave a Reply