Hiqayat (Part 42) » Ayyub (Alaihay Salam)

• Allah Taala Ki Janib Se Shaitaan Iblees Ke Jarye Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sabr Ki Aazmaish

Aziz Dosto ,… Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ka Taaaluq Ahle Rome Se Tha. Aap Ka Sazra Nasab Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Se Hote Huve Hazrat Ibrahim A(Alaihay Salam) Se Ja Milta Hai. Aap Ke Waalid Ka Naam Al Ayeesh Tha Jo Ki Unn Khush Naseeb Logo Me Se Eik Hai Jo Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Par Uss Din Imaan Laaye , Jis Din Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Aag Me Daala Gaya Tha. Aur Allah Ta’ala Ke Huqum Se Wo Aag Gulzaar (Thandi) Ho Gayee Thi.

Aur Aap Ki Waalda (Maa) Hazrat Looth (Alaihay Salam) Ki Beti Thi. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi (Wife) , Jinhone Aap Ka Shadeed Bimaari Ki Haalat Me Bhi Saath Na Chhodha. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Beti Thi Jo Ki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Paheli Biwi ”Liyaa” Ke Batan Se Paida Huyee Thi. Ya Un Ka Ta aalluq Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Nasal Se Tha (Allah–Hu–Aalam)

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Bahut Maaldar The, Aap Ki (4) Biwiya Aur Bahut Si Aulaade (Bete–Betiya) Thi. Maal Maveshi (Jaanwar), Aur Gulaam Bhi Bahut Sare The, Aap Ki Malkiyat (Jayedaad) Me Sirzameen–e–Huraan Ke Silyaa Ilaaqe Me Bahut Sari Zameen Aur Bahut Badi Khetiya Thi. Allah Ta’ala Ne Aap Ko Apni Har Nemato Se Nawaaza Tha.

Aap Allah Ta’ala Ke Ibaadat Guzaar, Sabar Karne Wale Aur Allah Ta’ala Ki Nemato Ka Shuqr Adaa Karne Wale Nek Aur Saleh Bande Aur Paigamber Hai, Aap Ne Apni Aazmayeesh, Dukh Dard Aur Taqleef Me Jo Sabar Kiya Aur Shiqaayat Ka Eik Lafz Bhi Apni Zubaan Par Na Laaye, Uski Misaal Aaj Bhi Duniya Me (Sabar–e–Ayyub Alaihay Salam) Ke Naam Se Di Jaati Hai .

Aziz Dosto ,… Riwaayato Me Hai Ki Allah Ta’ala ! Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki In Hi Khubiyo Ki Wazaah Se Aap Ka Ziqr Farishto Se Farmata Aur Aap Par Fakhar Karta Ki “Eik Mera Banda (Ayyub) Hai Jo Ki Har Waqt Mera Ziqr Karta Hai, Meri Ibaadat Karta Hai, Aur Meri Ataa Ki Huyee Nemato Ka Uthhte Baithhte Sote Jaagte Har Waqt Shuqr Adaa Karat Hai.”
Shaitaan Iblees Ko Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Ye Taarif Bardast Na Huyee, Uss Ne Arz Kiya “Aye Mere Rab ! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai ? Tu Ne Usey Itni Sari Nemate (Zameen, Jayedaad, Maal, Maveshi) Ataa Ki Hai. Uss Ki Jagaah Tu Ne Kisi Aur Bande Ko Bhi Itni Hi Nemate At aa Ki Hoti Toh Woh Banda Bhi Tera Itna Hi Ibaadat Guzaar Aur Shuqr Guzaar Hota”.

♥ Allah Ta’ala Ne Farmaya Ja Tujhe Ikhtiyaar Diya Ki, Tu Uss Mere Maheboob Bande Ko Uss Ki Tamam Zameen, Jaayedad, Maal, Maveshi Se Maheroom Kar De, Aur Fir Dekh Ki Mera Maheboob Banda Sabar Karta Hai Ya Nahi ?”

Shaitaan Iblees Ne Aisa Harba (Fareb, Makar) Istemaal Kiya Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Tamam Zameen, Jaayedaad, Maal, Maveshi Sab Kuch Khatm Ho Gaya. Lekin Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Apni Zubaan Par Shiqaayat Ka Eik Harf Tak Na Laaye. Aur Pahele Ki Tarha Hi Allah Taala Ki Ibaadat Aur Shuqrguzaari Adaa Karte Rahe .

Aziz Dosto ,… Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Se Maal–O–Daulat , Zameen-O– Jaayedaad Chheen Jaane Ke Baad Bhi Aap Allah Ta’ala Ka Ziqr Karte Rahe, Sabar Aur Shuqr Adaa Karte Rahe. Allah Ta’ala Ne Fir Aap Ka Ziqr Farishto Se Farmaaya Aur Aap Par Fakhar Kiya.
Shaitaan Iblees Ne Arz Kiya “Aye Mere Rab ! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai ? Ke Tu Uss Par Fakhar Kare. Tu Ne Usey Itni Biwiya Aur Aulaade Ataa Ki Hai. Jin Se Unhe Taqwiyat (Taaqat) Milti Hai Tera Ziqar Aur Shuqar Adaa Karne Ki. Itni Biwiya Aur Aulaade Tu Kisi Aur Bande Ko Deta Toh Woh Bhi Tera Ziqr Aur Shuqr Adaa Karta”.

Allah Ta’ala Ne Farmaya “Ja Tujhe Ikhtiyaar Diya, Ayyub (Alaihay Salam) Ko Un Ki Aal–Aaulaad Se Maheroom Kar De (Chheen Le) Aur Fir Dekh Mera Maheboob Banda Kya Karta Hai ?

Shaitaan Iblees Ne Unke Aulaado Par Kahar (Bijli) Gira Diya Aur Un Ki Tamaam Aulaade Faut (Khatm, Jaan Bahek) Ho Gayee Ya Maut Ke Ghaat Utaar Di Gayee. Aur Halaat Bad Se Badtar Ho Gaye Aur Faanke Karne Ki Naubat Aa Gayee Toh Aap Ki Teen Biwiya Bhi Aap Ka Saath Chhodh Gayee Siwaaye Eik Biwi Ke Jo Ki Aap Ki Khidmat Karti Rahi . Itna Sab Kuch Ho Jaane Ke Baavojood Bhi Aap Ne Sabar Ka Daaman Na Chhodha Aur Allah Ta’ala Ka Raat Din Ziqr Aur Shuqr Adaa Karte Rahe .

Allah Ta’ala Ne Fir Farishto Se Aap Ka Ziqr Farmaya Aur Aap Par Fakhar Kiya Ki “Mera Maheboob Banda ! Sab Kuch Katam Ho Jaane Ke Bavojood Bhi Qasrat Se Mera Ziqr Aur Shuqr Adaa Kar Raha Hai.”
Shaitaan Iblees Ne Arz Kiya “Aye Mere Rab ! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai ? Tu Ne Unhe Itni Achchi Sehat Aur Tandrust Jism Ataa Kiya Hai, Ki Agar Tu Itni Achchi Sehat Aur Itni Quwat Aur Tandrust Badan Apne Kisi Aur Bande Ko Bhi Diya Hota Toh Woh Banda Bhi Tera Ziqr Karne Wala Aur Shuqr Karne Wala Hota.”

♥ Allah Ta’ala Ne Farmaya Ja Tujhe Ikhtiyar Diya Ke Tu Ayyub Ko Un Ki Achchi Sehat Aur Tandrusti Se Maheroom Kar De (Chheen Le) Fir Dekh Mera Maheboob Banda Kya Karta Hai”

Dosto ,… Riwaayato Me Hai Ki Shaitaan Iblees Ne Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Chhoo Kar Unhe Chechak Ki Bimaari Me Mubtila Kar Diya. Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Aap Ubaale Ki Bimaari Me Girahftaar Ho Gaye. Ye Wo Bimaari Thi Ke Jisme Aap Ke Sare Jism (Badan) Me Fodhe Nikal Aate Aur Jab Wo Fodhe Foothhte Toh Uss Me Se Badboodar Paani Nikalta.

Aap (3) Saal Ya (7) Saal Iss Bimaari Me Mubtila Rahe. Iss Bimaari Ki Wazaah Se Aap Ka Sara Jism (Badan) Sadhh Aur Gal Gaya. Bas Aap Ki Zubaan Aur Dil Mahefooz Rahe Jis Se Aap Raat–O–Din Allah Ta’ala Ka Ziqr Aur Shuqr Adaa Karte Aur Sabar Karte Aur Eik Chhota Sa Lafz Bhi Shiqwaa Aur Shiqaayat Ka Apne Labo Par Na Laate. Aap Ki Bimaari Jab Jiyada Badh Gayee Toh Bani Israayeel (Yahoodiyo) Ne Aap Ko Basti Se Uthaa Kar Gandagi (Kachre Ke Dher) Par Daal Diya.

Riwayato Me Hai Ki Aap Ke Badan Ke Zakhmo Me Kide Pad Gaye Ya Aap Ko Jis Kachre Ke Dher Par Daal Diya Gaya Tha Wahaa Se Kide Aap Ke Badan Par Aaya Jaya Karte The . (Allah–Hu–Aalam)

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: