Hadees: Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa… Nahaq faisla karne ka Anjaam Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa Khoonrezi aam ho jati hai." 📕 Mu'atta Malik, Hadees 1670
Isa (Alaihay Salam) ki Gawahi Sirf Allah ki Ibadat… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrat Isa (Alaihi Salaam) ne kaha - Beshaq Allah Hi Mera aur Tumhara Rab hai Isliye Usi Ki Bandagi karo,Jab Farishton ne kaha Aye Mariyam! Allah Tujhko Ek Bete ki Apni Taraf se Basharat (Khushkhabri) deta hai, Uska Naam Maseeh Isa Ibn Mariam Hoga jo Duniya aur Aakhirat me Martabe wala hoga aur Allah ke Muqarrabo (Khaas Bando) me se hoga aur Jab wo Maa ki God me hoga aur Badi Umar ka hoga tou Logon se…
Qayamat ke Din uska Maal Zahreeley Ganje Saanp ki… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki: "Jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley Ganjey Saanp ki Shakal ikhtriyar kar lega uski Aankhon ke pass do Siyah(black) Nuqtey honge jaise Saanp ke hote hain phir wo Saanp uskey dono Jabdo se usey pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun." ? Sahih Bukhari ,…
Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hadees of the Day Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ki: "Agar koi Musalman kisi Majoosi (Qaahin) ke paas jakar kuch daryaft karta hai tou uski 40 din ki namaz qubool nahi hoti." 📕 Muslim Sharif; Vol 2 Page-233 Ek aur riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne Sharab pi li uski 40 din tak Namaz kubool nahi hogi, phir agar woh Tauba karle…
Ramadan Day 18 | Allah ki raah me Ek Din bhi Roza… Ramadan Quotes: 18 Ramzan ✦ Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak ...
Sabse Afzal Din Zill Hijjah ke 10 Din Hadees of the day Sabse Afzal Din Zill Hijjah ke 10 Din Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Dunia ke dino me Sabse Afzal din Zil Hijjah ke Dus din hai." 📕 Sahih Al Jami 1133 Aur bhi Padhey: Zil Hijjah ke Shuru ke 10 Dino ki fazilat Qurbani Ke Ahkaam O Masaail अशरा ज़ुल हज की फ़ज़ीलत क़ुरानो सुन्नत की रौशनी में Ashra Zul-hijjah Mein Kasrath Se Karne Waale Amaal Dhul Hijjah Ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ko Pasand ♫ Qurbani…
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Kisi Qoum ki Dushmani tumhe Na Insaafi karne par… Kisi Qoum ki Dushmani tumhe NaInsaafi karne par majboor naa kar de "Kisi Qoum ki Dushmani tumhe (un ke sath) Na Insaafi karne par naa ubhare, (balke is waqt bhi tum) insaf se kaam lo. yahi tareeka Taqwa se ziyada qareeb hai." 📕 Surah Maidah 5:8
Hadees: Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega… Hadith: 22-April: Anas bin Malik (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟ Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega tou ye Qayamat ke din uske liye wabal hogi. 📕 Shoaib Ul Iman 10710
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Juma ke Din ya Raat Surah Al-kahf padhne ki Fazilat Hadees of the Day | Jumma Series Juma ke Din Surah Al-kahf padhne ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Jumah ke Din Surah Kahf padhta hai uske liye ek Jumah se Dusre jumah tak noor roshan ho jata hai." 📕 Saheeh al-Jaami, 6470 Juma ki Raat Surah Al-kahf padhne ki Fazilat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Jisne Juma ki raat Surah kahf padhi uske aur baitullah ke darmiyan noor ki roshni ho jati hai." 📕 Saheeh al-Jaami,…
MERA Email me musa alsissam ka paigham bhejyega ples har ummate ka