♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat Umar Bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki,
Ek Roz hum Huzoor Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki khidmat me haazir they. Achanak ek Shakhs humaari mehfil me aaya, uske kapde nihayat safed, baal gahre syaah they. us par safar ke kuch asraat numaya’n na they aur hum me se koi usey pahchaanta bhi nahin tha.
Aakhirkaar woh shakhs Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke saamne aake ghutne se ghutne mila kar baith gaya aur usne donon haath apni raanon par rakh liye aur arz kiya: “Ya Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mujhe Bataaye Islam Kya Hai ?” Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
❝ISLAM yeh hai ki tu is baat ki gawaahi de ki Allah Ta’ala ke siwa koi mabood nahin aur Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Allah ke Rasool hain aur tu Namaz kaayam kare, Zakaat ada Kare, Ramzan-ul-Mubarak ke Roze rakhe aur istita’at rakhne par Baitullah ka Hajj kare.❞
Us ne Arz kiya: “Aap ne Sach farmaya.”
Hazrat Umar (RaziAllahu Anhu) farmate hain ki humein ta’ajjub huwa ki khud hi sawal karta hai aur khud hi tasdeeq bhi karta hai. Us ke baad uss ne arz kiya: “Mujhe Eman ke baare me bataaye !” Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
❝EMAN yeh hai ki Allah Ta’ala par, farishton par, us ke kitaabon par, us ke Rasoolon par aur Qayamat ke din par iman laaye aur achchhi buri taqdeer par iman rakhe.❞
Woh Bola: “Aap ne sach farmaya.” Phir Us Ne Arz Kiya: “Mujhe Ehsaan ke baare me bataaye.”Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
❝EHSAN yeh hai ki tu Allah ki ibaadat is tarah kare goya tu usey dekh raha hai aur agar tu usey na dekh sake tou yeh jaan le ki yaqeenan woh tujhe dekh raha hai.❞
Us ne Arz Kiya: “Achchha Ab Mujhe Qayamat Qaayam hone ke (Waqt ke) baare me bataaye.”Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
❝Jis se sawal kiya gaya hai woh is mas’ale par saa’il (sawal karnewale) se zyada Ilm nahin rakhta (ya’ni jo kuchh mujhe maaloom woh tumhein bhi maaloom hai aur doosare haazireen ke liye usey zaahir karna mufeed nahin hai.).”
Us shakhs ne arz kiya: “Achchha phir Qayamat ki Alaamat hi bata do.” Huzoor Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Alaamaat-e-Qayamat yeh hai ki Naukaraani apne maalika ko janm degi (Ya’ni beti apni maa ke saath naukaraniyon waala sulook karegi) aur barhana paanw aur nange badan waale muflis charwaahe unche unche mahallaat par fakhr karege.”
Phir woh shaks chala gaya, Hazrat Umar (RaziAllahu Anhu) farmate hain ki Main kuchh der thehra raha, phir Huzoor Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Aye Umar! Jaante Ho Yeh Sawal Karne Waala Koun Tha ?.”
Maine arz kiya: Allah Ta’ala aur us ka Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) behtar jaante hain.
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Yeh Jibra’il Alaihissalam they jo tumhein tumhara deen sikhaane aaye they.”
Muttafaque Alayh Riwayat
- Bukhari As-Sahih, 01/27, Raqam-50, & 04/1793, Raqam-4499,
- Muslim As-Sahih, 01/36, Raqam-08, 09,
- Tirmidhi As-Sunan, 05/06, Raqam-2601,
- Abu Dawood As-Sunan, 04/222, Raqam-4695,
- Nasa’i As-Sunan, 08/97, Raqam-4990,
- Ibn Majah As-Sunan, 01/24, Raqam-63,
- Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01/15, Raqam-367,
- Ibn Khuzaymah As-Sahih, 04/127, Raqam-2504,
- Ibn Hibban As-Sahih, 01/389, Raqam-168,
- Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-124, 125, 126, Raqam-44.
Mujhe ehsan ka matlab samaj nahi aaya. Agar waqai mei ye website ummate nabi sallallaho alayhe wasallam ki hai ti mujhe iska jawaab zaroor de. Ki is hadees se ehsaa ka matlab kya hua ?
Jazakallah khair.