Apne Mehman ki Izzat kare : Hadees ♥ Mafhoom-e-Hadees:RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: “Jo shakhs Allah aur Aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho, usko apne mehmaan ki izzat karni chahiye.” – (Sahih Bukhari, Jild 7, Hadees no. 6135) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस:रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फरमाया: “जो शख्स अल्लाह और आख़िरत के दिन पर यक़ीन रखता हो, उसको अपने मेहमान की इज़्ज़त करनी चाहिए।” – (सहीह बुखारी, जिल्द 7, हदीस 6135)
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Khana khane ke Adab | RasoolAllah (ﷺ) ne kabhi… Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmate hain: "Allah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi bhi Kisi Khane mein Aib nahi Lagaya, Jab Aapko Pasand Aata tou Kha Lete nahi tou Chhor dete." 📕 Tirmizi, Hadees: 2031 Sahih
Shirk ke baad Sabse Bada Gunaah Maa-Baap ko bura bhala kehna Shirk ke baad Sabse Bada GunaahMaa-Baap ko Bura bhala kehna Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "(Shirk ke baad) Sabse Bada Gunaah ye hai ke aadmi apne Maa Baap ko bura bhala kahe." 📕 Muslim, Hadees 263
Mayusi Kufr Hai – Allah Ki Rehmat Se Kabhi Mayoos Mat Ho "Mayusi Kufr Hai" – Yaani Mayusi (Niraasha) Islam mein ek bahoot bada gunaah mana gaya hai। Qur'an humein yeh taaleem deta hai ki chahe zindagi mein kitni bhi musibat aaye, kabhi bhi Allah ki rehmat se umeed khona nahi chahiye. Jo log Allah ki rehmat se umeed tod dete hain, Qur'an ke mutabiq woh log kafir hote hain. 📖 Quran Ayat – Surah Yusuf (12:87) "Aur Allah ki Rehmat se kabhi mayoos na ho. Beshaq Allah ki Rehmat se wahi…
Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti,1) Kanjusi, 2) Burey Akhlaaq." 📕 Tirmizi, Hadees 1962
Ramadan ke Baad in 5 Chizou ko Kabhi Na Chorey Ramadan ke Baad kya kare ? Ramadan ke Baad in 5 Chizou ko Kabhi na Chorey Namaz 5 Waqt ki Namaz Allah Ta'ala ne Musalmano par Hamesha ke Liye Farz ki hai, Sirf Ramadan me nahi Lehaza Jo Ramadan me Humne 5 Waqt ki Namaz Padhi Usko Jaari Rakhe Uske Saath Nawafil ka bhi Ahtemaam kare. Nabi-e-Kareem ﷺ farmatey hai: "Beshak Aadmi aur Shirk wa Kufr ke Darmiyan Fark karne waali cheez Namaz hai." 📚 Sahih Muslim : Hadees No.246(82)…
Gunaah karna apne Nafs pe Zulm karna hai Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai "Allah Tou Hargiz Bando Par Kuch Bhi Zulm Nahi Karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm Kiya Karte Hai". 📕 Al-Quran; Surah Yunus 10:44
Kisi ka Samaan Uthaane me Madad karna bhi Sadqa hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, “Kisi shakhs ka samaan uthaane mein madad kar dena bhi sadqa hai” – (Bukhari; 2989) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, “किसी का सामान उठाने में मदद कर देना भी सदका है” – (बुखारी; 2989) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Walidain ki Nafarmani Bahut hi bada Gunah hai Hadees of the Day Walidain ki Nafarmani Bahut hi bada Gunah hai Mugeerah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) Ne Farmaya: "Allah Ta'ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur (walidain ke haqooq) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna (bhi haraam qarar diya hai) aur Kil wa qail (fuzool batein) kasrat se Sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand…
Hadees: Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari… Apne Khane ko Pakeeza bana lo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari Dua Qabool ho jayegi." 📕 Targhib: Hadees 2484
Qurbani kya hai ~ Qurbani Ek Baap aur Betey ki ... Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam ki Qurbaani ka Azeem Waqia Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) ne ek raat Khwab me Dekha ki koi Shakhs Gaib se aawaz deta hai aur kehta hai ki: "Aye Ibrahim...! Tumhe Allah ka huqm hai ki apne bete ko Allah ki raah me zibaah kar do." Nabi Ibrahim Alaihi Salam ke bare me tafseeli jankari ke liye is Hiqayat ke series ka mutala kare. Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur "Wahih" ki Qism se hota…
♫ Napaki me sehri karna kaisa? Napaki me sehri karna kaisa Ramzan me Rozo ke liye Napaki ke halat me kya sehar karna durust hoga? Agar haa tou Gusl ka sahi wakt kounsa hai? Tafseeli jankari ke liye is mukhtasar se Audio bayan ka muta'ala kare. jazakAllahu khairan kaseera. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chhut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se…
Sawaal Karna (Maangna) Kiske Liye Jayaz Hai ?... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Qabisah Bin Mukhiriq Al-Hilali (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - 'Teen Tarah Ke Logon Ke Alawa Kisi Ke Liye Sawaal Karna (Maangna) Jayaz Nahi' 1. Ek Wo Shakhs Jis Par Zamanat Ka Bojh Ho Aur Jab Tak Wo Zamanat Se Nijat Na Pa Le Iske Baad Usko Baaz Rahna Chahiye, 2. Dusra Wo Shakhs Jisko Aisee Musibat Pesh Aaye Jiski Wajah Se Uska Maal Tabah Ho Gaya Ho Tou Uske Liye…
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…