Hadees: Hazrate Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Agar koi Shakhs Lakdiyon ka Gatthha Apni Peeth par (Bechne) ke liye Phiretou Wo Uss se Achcha hai ki kisi ke Samne Haath failayeaur wo Usey kuch de ya na de.”
Wajahat: Yaani kisi ke Samne Haath Failane se Behtar hai ki Halaal Tarike ki Mehnat se Rozi Hasil kiya jaye phir chahe Lakdiyon ka Gaththa hi Apni Peeth par lekar Kyun na bechna padey.
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
Al-Quran: Duniyawi Zindagi me unki rozi Allah ne hi… Duniyawi Zindagi me unki rozi Allah ne hi taqseem kar rakhi hai Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: "Duniyawi Zindagi me unki rozi hum (yaani Allah) ne hi taqseem kar rakhi hai aur ek dusre par martabe ke aitbar se fazeelat de rakhi hai, taaki ek dusre se kaam leta rahe." 📕 Surah Az-Zukhruf 43:32
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain ... Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,Mai ne Rasool'Allah (ﷺ) se suna ki - "Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey." *Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya. Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey…
Hadees: Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza… Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de." 📕 Shoebul Imaan, Hadees : 10376
Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai ۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai: “Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai aur tumhaari madad ki jaati hai.” 📕 Sahih al-Bukhari 2896
Halaal Rozi Haasil karna Farz hai Mafhum-e-Hadees: 1). Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Shariyat ke Digar Faraiz ke baad Halaal Rozi haasil karna Farz hai." 📕 Bayhaqi, Mishkat Page-242 2). Abu Bakr Siddiq (R.A) se riwayat hai ki, Huzoor (ﷺ) ne farmaya: "Jis Badan ko Haraam Giza (Khana) diya gaya wo Jannat me Dakhil na hoga." 📕 Mishkat Page-243 3). Abu Hurairah (R.A) ne kaha ki, Huzoor (ﷺ) ne farmaya ke: "Logo par ek Zamana aisa bhi…
Jo Apni Rozi me kushadgi chahta ho wo Sila Rehmi Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas bin Malik (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, "Jo Shaksh apni Rozi mein kushadgi chahta ho ya Umar darazi chahta ho to usey chahiye ki Sila Rehmi(keep good relations with his relatives) karey" - (Sahih Bukhari, 2067) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अनस बिन मलीक (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, "जो शख्स अपनी रोज़ी में कुशादगी चाहता हो या उम्र दराजी चाहता हो तो उसे चाहिए के सिला…
Har Aadmi ko us ki Rozi is tarah talash karti hai jaise ... Har Aadmi ko us ki Rozi is tarah talash karti hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum me se har aadmi ko us ki rozi is tarah talash karti hai jaise marne wale ko mout." 📕 Sahih Ibn Hibban; Hadees 3307
Qabro ki Ziyarat Mardo par Halaal Aurto par Haraam .... Hadees: Qabro Ki Ziyarat se aakhirat yaad aati hai Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum Qabro Ki Ziyarat kiya karo Kyunki Wo Tumhey Mout ki Yaad Dilaati hain." 📕Sahih Muslim, Vol2, Hadees 2259 Hadees: Qabro ki Ziyarat karney Waali Aurton par Lanat Abdullah Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ki, "RasoolAllah (ﷺ) ne Qabro ki Ziyarat karney Waali Aurton par Lanat farmayee hai aur Isi Tarah Qabron par Masjid Bananey Walo aur Uss…
Insan ke liye pakeezah khana mehnat ka khana hota hai Insan ke liye pakeezah khana mehnat ka khana hota hai Hadees: Ummaha-tul-Momineen Aaisha (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Insan ke liye pakeezah tareen khana woh hai jo usne apni mehnat se kamaya ho." 📕 Abu Dawood, Hadees 3528
Rozi me Barkat ka Wazifa - Rizq Ki Kunjiyan by Adv.… https://www.youtube.com/watch?v=zbmkExcOzIA Rozi me Barkat ka Dua / Wazifa Rozi Me Barkat lane ka sharayi tareeka kya hai aur Rizq Ki Kunjiyan kya hai iske bare me tafseeli jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. jazakAllahu khairan kaseera. rozi me barkat ki dua, kushada rizq ki dua, rozi rizq ki dua, rizq mein kushadgi ki dua, umar darazi ki dua, rizq mein kushadgi ka wazifa, rizq ki kunjiyan