Jab Mousiqui (Music Instruments) aam ho Jayegi ✦ Mafhum-e-Hadith: Abu Malik Ash’ari (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Karem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke: ❝Aakhri Zamane me logon ko Zameen me Dhansa diya jayega, Unpar pattharo ki barish ki jayegi aur unki Shaqle mask (Mita) kar di jayengi. ek riwayat me aata hai ke "Unki Shaqlo ko Suar (Khinzir) aur Bandar ki shaqlo me badal diya jayega.❞ Aap se pucha gaya ke "Aye Allah ke Rasool! aisa kab hoga ?.." Tou Aap(ﷺ) ne farmaya "Jab Aalat-e-Mousiqui (Music instruments)…
Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Hadees: Abd al-Rahman bin Abi Bakrah (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare." 📕 Abu Dawood, Hadees 3589
Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai: Hadees Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jis me Fahash (behoodah baate ya sakht kalaami) ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai aur jis me Hayaa ho, woh us ko Khoobsoorat bana deti hai." 📕 Tirmizi, Hadees 1974
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Al-Quran: Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai… Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai usme se khao, aur us me hadd se aage na badho, jis ke nateeje me tum par mera gazab nazil ho jaye. [Quran 20:81]
Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai: Hadees Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai, "Hargiz Sharaab Na Peena! Isliye ki Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 22075
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya -"Gaali-Galoch karne waale Dono Shaitan hain,Woh Ek-Doosre par Ilzaam Lagaate aur Jhoot boltey hain." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 17483 Ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai ke:"Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena.” 📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees: 2459 Afsos ki baat hai -- Aaj ye Khabahat yeh Burayi Ummat-e-Muslima ko Nasoor ki tarha lag gayi hai.- Chote Se Chote Ikhtelaf me bhi Gaali…
Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Kisi Qoum ki Dushmani tumhe Na Insaafi karne par… Kisi Qoum ki Dushmani tumhe NaInsaafi karne par majboor naa kar de "Kisi Qoum ki Dushmani tumhe (un ke sath) Na Insaafi karne par naa ubhare, (balke is waqt bhi tum) insaf se kaam lo. yahi tareeka Taqwa se ziyada qareeb hai." 📕 Surah Maidah 5:8
Hadees: Bhalayi ka Rasta batlaane wala neki… Hadith: 30-June: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Bhalayi ka Rasta batlaane wala Neki karnewale ki tarah hai. 📕 Tirmidhi 2670
Aulaad ka Qatl bohot sakht Gunaah hai 💠 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 💠 ❌ Garibi ke Dar se Aulaad ka Qatl Mat karo Allah Ta'ala Qur’an-e-Kareem mein irshad farmata hai: “Aur logo! Muflisi (Garibi) ke khauf se apni aulaad ko qatl na karo. Kyunki unko bhi aur tumko bhi rozi hum hi dete hain. Beshak aulaad ka qatl karna bohot sakht gunaah hai.”— Surah Bani Israel, Aayat 31 👧👦 Allah har kisi ko Aulaad Apni Hikmat se deta hai Allah Qur’an mein farmata hai: “Saare Aasmaan aur Zameen ki hukumat…
Dilo ko bhi Jang(Rust) lag jata hai : Hadees Hadees: Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Inn Dilo me bhi Jang (Rust) lag jaati hai, Jis tarah lohe me paani lagne se jang lagti hai". Arz Kiya "Ya RasoolAllah! Uski jila kis cheez se hogi? yaani dilo ka jung kaise door hota hai". Aap ﷺ ne farmaya "Qasrat se Mout ko yaad karne aur Quraan-e-Kareem ki tilawat se." - Shu’abul Iman, Hadees: 1859- Musnad Shihab, Hadees: 1179