Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me fermata hai:
Aur humne Aap(ﷺ) ki taraf Zikr naazil kiya hai taake Aap logon par in taleemaat ko waazeh kare jo inki taraf naazil ki gayi hain taake wo Gour-o-fikr karen.
📕 Al-Quran; Surah Nahal 44
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
Yaad rakho! mujhe Quran-e-Majeed aur iske saath is jaisi ek aur cheez (Sunnat) di gai hai).
📕 Abu Dawood: as Sunnah, Baab Fee luzoomus Sunnah 4604) Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha
Aur Jis tarha Allah Ta’ala ne apni Itaa‐at ko farz kiya hai isi tarha apne Rasool (ﷺ) ki Ita‐at ko bhi apne bando par laazim qarar diya aur Quran me farmaya:
Aye Imaanwalo! Allah ki Ita’at karo aur (is ke) Rasool ki Itaa‐at karo aur (is Ita’at se hat kar) apne Amaal ko baatil na karo.
📕 Surah Muhammad 33
Maloom hua ke Quran-e-Majeed ki tarha Sunnat-e-Nabwi bhi Sharayi Daleel aur hujjat hai magar Sunnat se daleel lene se pehle is baat ka ilm hona zaroori hai ke Kya wo Sunnat Rasool’Allah (ﷺ) se saabit bhi hai ya nahi?
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
Aaqhri Zamana me Dajjal (Anti Christ) aur kazzab (Liers) honge wo tumhe aisi aisi ahadees sunaenge jinhe tumne aur tumhare abaa-o-ajdaad ne nahi suna hoga. Lihaza inse apne aapko bachana. Kahi aisa na ho ke wo tumhe Gumrah karde aur fitne me daal de.
📕 Muslim: al Muqaddama, Baab an Nahi anir Riwaayah anil Zo’afa wal Ehtiyaat fee Tahmilha 7
Ek Riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya:
Jo Shakhs mujh par Amadan Jhoot boley isey Chahiye ke wo apna thikana Aag(Jahannum) me Bana ley.
📕 Bukhari: al Ilm, Baab Ism min Kazb aalaa Nabi 108 – Muslim 2
Imam Daarequtni farmate hain: Rasool’Allah (ﷺ) ne apni taraf se (baat) poh’ncha dene ka huqm dene ke baad apni Zaat Paak par jhuth bolne wale ko Aag ki Waeed (Warning) sunayi hai, lihaza isme is baat ki Saleel hai ke Aap ne apni taraf se Zaeef ki bajae Saheeh aur Baatil ki bajaae Haq ke poh’ncha dene ka hukam diya hai Na ke har is cheez ke poh’ncha dene ka jis ki nisbat Aap(ﷺ) ki taraf kardi gai.
© www.ummat-e-nabi.com/home
Nabi-e-Akram(ﷺ) ne farmaya:
Aadmi ke jhoota hone ki liye yehi kaafi hai ke wo har suni sunaai baat bayan karde.
📕 Muslim: al Muqaddama, Baab an Nahi anil Hadees bikul Maa samaa
✦ SABAQ:
Lihaja Hume Chahiye ke jo bhi baat aagey pohchaye wo sahi daleel se sabit ho. Afwa na ho. Warna Afwah se kis hadd tak fitne fasad hotey hai beharhaal hum pichli post me uska Zikr kar chukey hai.
✦ Aakhri me Allah Rabbul Izzat se dua hai ke:
Allah Ta’ala hume Haq kehne Sun’ne se Jyada Amal ki tofik dey,.
Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhye…
Khatma Humara Imaan par ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!