Abu Saeed Khudri (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Tum Mein se jo Shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo Shaksh (zimmey se) bari ho gaya, Agar usmein itni Taqat na ho aur wo Zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi Taqat na ho to wo Dil se bura Samjhey to wo bari ho gaya ye imaan ka Sabse kum darja hai.“
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
Iman par Isteqamat ki Dua (Qurani Dua) ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Iman par Isteqamat ki Dua (Qurani Dua) رَبَّنَا لاَ تُزِغْ قُلُوبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا وَهَبْ لَنَا مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً إِنَّكَ أَنتَ الْوَهَّابُ "Rabbana la tuzigh quloobana ba'da idh hadaytana wa hab lana milladunka rahmah innaka antal Wahhab" - (Surah Aale Imran; 3:8) ✦ इमांन पर इस्तेक़ामत की दुआ (हिंदी तर्जुमा) ✦ "हमारे रब! जब तू हमें सीधे मार्ग पर लगा चुका है, तो इसके पश्चात हमारे दिलों में टेढ़ न पैदा कर और हमें अपने पास से…
Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha deti hai Allah Taala farmata hai: "Jab Allah Taala ki Aayatein un Imanwalo ko padh kar sunayi jaati hai tou wo Aayatein un ke iman ko aur badha deti hai." 📕 Quran, 8:2
Subah ke sare Azkar me se Meezan par sabse bhari Azkar ✦ Mafhum-e-Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) subah ko unke pass se nikle , wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha, ji haan ! Aap(ﷺ) ne farmaya "Maine…
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Hadees: Chaar baato par Iman Lana Farz hai Hadees: Hazrat Ali (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jabtak koi banda in 4 baaton par imaan naa laye, to woh Momin nahi ho sakta: (1) is baat ki Gawahi de ke Allah ke alawa koi ibadat ke layaq nahi, (2) (is ki bhi gawahi de ke) Main (Muhammad ﷺ) Allah ka Rasool hu, usne mujhe Haq ke saath bheja hai. (3) Marne aur dobara Zinda hone ka yakin rakhe. (4) Taqdeer par imaan…
Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta ... Jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye. 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5660
Baap ke Saath Husne Sulook ka Aala Darja ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Baap ke saath Husne Sulook ka Aala Darja yeh hai ke uski Wafaat ke baad us ke Milne julne waalo ke saath accha sulook kare." - (Muslim, 6679) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अब्दुल्लाह इब्ने उम्र (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "बाप के साथ हुस्ने सुलुक का आला दर्जा यह है के उसकी वफात के बाद उस के मिलने जुलने वालो…
Akhirat Ki Kamiyabi - Iman aur Nek Amal Allah Rabbul Izzat Qur’an Kareem mein farmate hain: “Zamane Ki Qasam! Insan Dar-Haqiqat ghate mein hai, siwaye un logon ke jo iman laaye aur nek amal karte rahe aur ek dusre ko haq ki naseehat aur sabr ki talkeen karte rahe.”– (Surah Asr: Ayat 1-3) Is ayat mein Allah Ta’ala humein ye naseehat de rahe hain ke Aakhirat mein kamiyabi ke liye iman aur nek amal dono zaruri hain. Aayiye, is post mein in dono ka tafseeli zikr karte hain.…
Al-Quran: Aur Baaz log kehte hai ke wo Allah par… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Dil se Imaan Na Laane Waale Log Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur Baaz log Aise bhi hai jo (Zaban se to) kehte hai ke Hum Allah par aur Qayamat par Iman Laye , Hala ki Woh Dil se Iman nahi Laaye" 📕 Surah Baqraah 2:8
Meezan me Sabse Bhaari acche Akhlaq (Hadees) Meezan me Sabse Bhaari acche Akhlaq Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : Meezan me Sabse Bhaari Cheez Acche Akhlaq Hoga. 📕 Sunan Abu Dawood; 4799, Sahih
Sabse Afzal Din Zill Hijjah ke 10 Din Hadees of the day Sabse Afzal Din Zill Hijjah ke 10 Din Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Dunia ke dino me Sabse Afzal din Zil Hijjah ke Dus din hai." 📕 Sahih Al Jami 1133 Aur bhi Padhey: Zil Hijjah ke Shuru ke 10 Dino ki fazilat Qurbani Ke Ahkaam O Masaail अशरा ज़ुल हज की फ़ज़ीलत क़ुरानो सुन्नत की रौशनी में Ashra Zul-hijjah Mein Kasrath Se Karne Waale Amaal Dhul Hijjah Ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ko Pasand ♫ Qurbani…
Jis se Log Bhalai ki Umeed Na rakh paye wo Sabse… ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Tum mein sabse badtareen shakhs wo hai, jisse log na bhalaai ki umeed rakhein, aur na hi uske shar se mehfooz ho." 📕 Tirmizi, Hadees : 2263 ♥ मफहूम-ऐ-हदीस (Hindi) अबू हुरैराह (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: "तुम में सबसे बद्तरीन शख्स वो है, जिससे लोग भलाई की उम्मीद न करें और उसके शर्र से महफूज़ न हों।" 📕…
Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: "Khana Kha ke Shukr Ada Karne Wale ka Darja, Sabr karne Wale Rozedar ke Barabar hota hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1837