۞ Hadees: Hazrat Abu Musa Ashari (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah )SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya:
“Allah Subhanahu ki tazeem ka hissa ye bhi hai ki Safaid baalo wale Musalman (yaani Buzurg) ki Izzat ki jaye aur Quran kareem ke haamil yaani (Hafiz, Qari ya Aalim) ki bhi Izzat ki jaye siwaye usmein gulu aur kami karne walo ke aur Aadil Baadshah ki bhi Izzat ki jaye.”
♫ Quran ki Aayat ko Mobile se Delete karna kya… Aksar ye baat sunne ko milti hai ke Quran ki ayat ko mobile se jo delete kiya jata hai wo Qayamat ki nishani hai,.. kya Wakay me ye baat Qurano Sunnat se sabit hai ya sahaba ke kisi Aqwal se mail khata hai? tafseeli jankari ke liye is audio ko jarur sune aur jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. jazakAllahu khairan kaseera,..
Buzurgo ke tazeem ki Fazilat : Jo jawaan Aadmi kisi… ۞ Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jo Jawaan Aadmi kisi Budhe(Buzurg) ki Tazeem iss ke Budhape ki bina per karega tou Allah Ta'ala iss ke Budhaape ke waqt kuch aise logo ko tayyar farma dega, jo budhape me iss ka Aa’ziz wa Akraam karenge." 📚 Mishkaat Jild 2, Safa 1423 Sah Al’mutabeh
Musalman Bhai ki Ahmiyat: Hadees Hazrate Anas (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya, "Tum me se koi shakhs iman wala na hoga jab tak Apne bhai ke liye wo na chahey jo apne Nafs ke liye chahta hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 13 प्रेषित के अनुयायी अनस (र.अ) वर्णन करते है के, प्रेषित मुहम्मद(ﷺ) ने कहा, "तुम में से कोई भी ईमानवाला नहीं होगा जब तक कि वह अपने (मुस्लिम) भाई के लिए भी वह पसंद न करे जो खुद के लिए पसंद…
ISLAM Khatrey Me Hai Ya MUSALMAN ? Aaj Musalamano Par Din-ba-Din Zulmo Seetam Ki Inteha Dekh Aksar Logon ke Muhh Se Ye Baate Sun'ne Ko Milti Hai ke "Islam Khatrey me Hai ,.." Subhan'Allah !!! ... *Yaad Rakhey Jo Log Ye Kehte Hai Ke Islam Khatrey Me Hai.. Wo Bhul Jaiye Ke Islam Ko Kabhi Khatra Tha Na Kabhi Hoga Balki Khatre Me Wo Musalman Hai Jo Is Deen Ko Chorkar Apne Nafs Ki Tabedari Kar Raha Hai.. - Jabki Is Deen Ki Fitrat Hai Ke Ye…
Jo Pait bhar ke khaye aur us ka padosi bhuka rahe wo… Jo Pait bhar ke khaye aur us ka padosi bhuka rahe wo Musalman nahi Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Woh Shakhs (Kamil) Imanwala nahi ho sakta jo pait bhar ke khaye aur us ka padosi bhuka rahe." 📕 Shoabul Emaan, Hadees 5660
Hadees: Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal… Hadith: 18-April: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal matol karna Zulm hai. 📕 Muslim 4085
Apne Mehman ki Izzat kare : Hadees ♥ Mafhoom-e-Hadees:RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: “Jo shakhs Allah aur Aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho, usko apne mehmaan ki izzat karni chahiye.” – (Sahih Bukhari, Jild 7, Hadees no. 6135) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस:रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फरमाया: “जो शख्स अल्लाह और आख़िरत के दिन पर यक़ीन रखता हो, उसको अपने मेहमान की इज़्ज़त करनी चाहिए।” – (सहीह बुखारी, जिल्द 7, हदीस 6135)
Valentine's Day ! Musalman Nahi Manate Kyunki ... Khabardar Zina ke Qareeb bhi na Phatakna Allah Ta'ala ne Farmaya: "khabardaar! Zina ke Qareeb bhi na Phatakna Kyunki Woh Badi Behayaai hai aur Bahot hi Buri Raah hai." 📕 Quran, 17:32 Hadees of the Day Allah ke Rasool ne farmaya: "Tumhare Liye kisi Ghair Mahram ko Chhoone se Behtar hai ki Tum Apne sar Mein Lohe ki Keel thok lo." 📕 Sahih Al-Jaami: 5054 Allah Taala Hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de,Hume Tamam kism ke…
Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,... Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Hai: ♥ Al-Quraan: "Beshaq Momin Aapas Me Bhai-Bhai Hai" - [Surah(49) Hujrat; Ayat-10] - Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Momin Dusre Momin Ka Aaeena (Mirror) Hai, Aur Momin Dusre Momin Ka Bhai Hai. Jo Nuksaan Ko Uss Se Door Karta Hai Aur Uski Gair-Moujudgi Me Uski Hifazat Karta Hai”. – (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith no. 1486) # Subhan'Allah!! - - Kya Wakay me Aaj Hum Me…
Jo Allah ko Naraz karke logon ko raazi karna chahega to Jo Allah ko Naraz karke logon ko raazi karna chahega to Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo Allah ko Naraz karke logon ko raazi karna chahega to Allah Taala us ko logon ke hawale kar dega” 📕 Tirmizi, Hadees: 1894
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)
Jiski Buniyad Shariyat me Nahi Aisa Kaam Deen me… Roman Urduहिंदी Hazrate Ayishah (RaziAllahu Anha) se riwayat hain ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Jisne Deen mein koyi aisa kaam kiya jiski buniyaad shari’at mein nahi wo kaam Mardood hai." - (Sunan Ibn Majah Hadees 14) ✦ Wajahat: Maslan wo tamam Aamaal jinhe hum Neki aur Sawab ki ummid se karte hai lekin jo Sunnat se sabit na ho wo Mardood hai. yaani Allah ke nazdik Radd kiya jayega Roze Qayamat. Kyunki aise Biddat wale aamal karne se hum Shariyat…
Mehman ki Izzat aur Padosi ka khayal rakhe Hadees Padosi ka khayal rakhe: Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Aur Jo koi Allah aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Wo Apne Padosi (Neighbour) ko takleef Na pahunchaye. Aur Jo koi Allah aur Aakhirat ke Din par Yakeen Rakhta ho Wo Apney Mehmaan ki Izzat karey. Jo Koi Allah Aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Usey chahiye Ki Acchi Baat kahey warna Khamosh rahey." 📕 Bukhari; Hadees 6018 Maloom…
Budhapa Musalman ka Noor hai ✦ Hadees: Budhapa Musalman ka Noor Hai Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne "Safaid Baalo ko Nikaalney se Manaa farmaya hai,Aur farmaya "Ye Budhapa Musalman ka Noor hai." [ Tirmizi; Hadees. 2821 ]