Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaaya:
“Jab Mujhe Meraj Karaayi gayi tou Mera Guzar ek aisi Qaum par hua Jin ke Naakhoon Taambey (Nails of Copper) ke they Jo apne Chehron aur Seenon (faces & chests) ko Chhil (Scratch) rahey they.”
Maine Poocha : Aye Jibreel ! Yeh kaun hain ?
Unho ne kaha :
“Yeh Woh hai Jo Doosrey Logon ka Gosht khaatey (Yaani Gheebat/Back Biting) aur unki izzaton se kheltey hain.”
# Sabaq: Musalmaan ki Gheebat karna yaa Choti Satah (level) ke Musalmano ki izzat wa Tauqeer (Sammaan) ko Malhooz (Dhyaan) naa rakhna, sakht Khatarnaak hai.
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Taala farmata hai: "Mere Bando ko Khabar de do Ki Main bohot bakhshne wala aur bada hi Meharbaan hoon. Aur Saath hi Mera Azab bhi Dardnak hai." 📕 Quran 15:49-50
7 Halaaq Karne Wale Gunaah se Bacho Hadees: 7 Halaaq Karne Wale Gunaah se Bacho Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya - "Saat (7) Halaaq (Barbad) Karne Wale Gunaahon Se Baccho" Sahaba ne Arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Wo Kiya hai"? Aap (ﷺ) ne farmaya - ∗ 1. Allah Ke Saath Shirk Karna.∗ 2. Jadu Karna.∗ 3. NaaHaq Kisi Ki Jaan Lena Jo Allah Ne Haraam Kiya Hai.∗ 4. Sood Khana∗ 5. Yateem Ka Maal Khana∗ 6. Jung Ke Din…
Kabira Gunaah : 4 Sabse Badey Gunah Hadees of the Day Gunah e Kabira : 4 Sabse Badey Gunah Anas (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) se Badey (Kabira) Gunaahon ke Baarey me pucha gaya: Tou Aap (ﷺ) ne farmaya – 1. Allah ke Saath Kisi ko Sharik Karna (Shirk),2. Waliden(Parents) ki Nafarmani Karna,3. Kisi ki (Nahaq) Jaan Lena,4. Aur Jhooti Gawahi Dena. 📕 Sahih Bukhari, Hadith 2653 Allah Rabbul Izzat humey Tamam kism ke Kabira aur Sageera gunaaho se Bachaye,Ameen Allahumma Ameen
Ramadan Day 15 | Jhoot bolne aur Dagabaji karne walo… Ramadan Day 15 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou ...
Diwaliya aur Muflis Kaun? | Gaali Galaoch aur Geebat… Diwaliya aur Muflis Kaun?Gaali Galaoch aur Geebat karne ka Azab Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne sahaba se farmaya 'Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ' Sahaba ne arz kiya ki "Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath…
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Major Sins in Islam | Kabira Gunah in the light of… WHAT IS A MAJOR SIN ? Any Sin which falls under any one or more of the below categories is considered a Major Sin1. A Sin that is mentioned as a Major Sin in the Qur’aan or the Sahih Hadith.2. A Sin for which a Punishment is Prescribed in the Qur’aan or the Sahih Hadith in this World.3. A Sin for which a Punishment is Prescribed in the Qur’aan or the Sahih Hadith in the Hereafter.4. A Sin for which Allah or His Messenger…
Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah Hadees: Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki - "Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega. Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele'n Aasaan bana deta hai. Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo…
Gunah kar ke fakhr se batana kaisa hai? Gunah kar ke fakhr se batana kaisa hai? Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Meri ummat ke tamam logo ke Gunaah Allah bakhsh dega, siwaye un logo ke jo Gunaah karke logo ko fakhr se bataayen ki humne ye Gunah kiya hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6069 ✦ Mukammal Hadees ✦ Mujahir ka Anjaam Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Meri tamam Ummat (Tawheed parast) ko Muaf kiya jayega siway Gunaaho ko Khullam Khula…
Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: "Khana Kha ke Shukr Ada Karne Wale ka Darja, Sabr karne Wale Rozedar ke Barabar hota hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1837
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne… Halala ka Nikah karne wale ka GunaahHalala karne wale par Allah ki Lanat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana…