Contents
Gaali galoch, badtameezi, aur jhagda karna aise gunah hain jo insaan ko Allah Ta’ala se door kar deta hain. Yeh na sirf duniyawi rishton ko tabah karte hain balke aakhirat ke liye bhi nuqsan deh hain.
Yeh baat hamare Pyare Nabi ﷺ ki in aahadīs se saabit hoti hai:
1. Pehli Gaali Kis Par?
♂️ Mafhoom-e-Hadees:
Hazrat Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasool’Allah ﷺ ne farmaya:
“Do shakhs jab gaali-galoch kare to dono ka gunaah usi par hoga jo pehle shuru karega, jab tak ke mazloom (zulm sehne wala) hadd se na guzar jaye.”
(Sahih Muslim)
📝 Sabaq: Gussa aane par bhi pehli gaali dene se parheiz karein. Gunaah ki shuruat karne wala hi sab se bhari gunahgaar hoga.
2. Musalman Ko Gaali Dena Bura Amal Hai
♂️ Mafhoom-e-Hadees:
Hazrat Abdullah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya:
“Kisi Musalman ko gaali dena fisq (gunah aur badtameezi) hai aur use qatl karna to kufr (ka amal) hai.”
(Sahih Bukhari)
📝 Sabaq: Kisi bi Musalman bhaye ko gaali dene se uski izzat ko nuqsan pahunchta hai aur yeh Allah ko napasand hai.
3. Jhagadalu Aadmi Sab Se Bura
♂️ Mafhoom-e-Hadees:
Ummul Momineen Hazrat Ayesha (Razi Allahu Anha) se riwayat hai ke Rasool’Allah ﷺ ne farmaya:
“Mardon mein sab se bura wo hai jo sab se zyada jhagadalu (laraku) ho.”
*(Sahih Bukhari, Vol-8, Hadith no. 7188)*
📝 Sabaq: Har jhagde mein jeetne ki koshish na karein. Jhagadna aur larna-ladana Allah ke nazdeek buraai hai.
Paigham:
Apne aap ko gaali, gussa, aur jhagdon se bachayein. Kisi se narazgi ho to Allah ke liye maaf kardein, kyunke yehi deen ka behtareen amal hai. Apni zubaan ko mehfooz rakhein, taki Allah ki rehmat se mahroom na ho.
🤲 Dua: Aay Allah! Hum sab ko apni zubaan ki hifazat karne ki taufeeq de aur aise a’mal se bachaye jo humein aap ki rehmat se door karein. Aameen.