♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare”
– (Sahih Muslim)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai”.
– (Sahih Bukhari)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momeneen Aayesha (Razi’Allaho Anha) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Mardo Me Sabse Bura Allah Ke Nazdeek Wo Mard Hai Jo Sabse Jiyada Jhagadalu Ho”.
– (Sahih Bukhari, Vol-8, Hadith no. 7188)
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.