Fazilat-e-Salaam

♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Jab Koi Tumhen Dua Salaam Kare TouUsko Uss Se Behtar
Dua Do Ya Phir Usi Tarah Ke Alfaz Keh Do…”

(Al-Quraan: Surah: Nisa – Ayat: 86)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai”.
(Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ghar Me Jaao Tou “Salaam” Karo Ye Tumhare Liye aur
Tumhare Ghar Walon Ke Liye Barqat Ka Sabab Hoga”.
(Jaame Tirmizi H:2707)

Apni Zaban Ko Narm Guftagu aur Salaam Ke Aadi Banao,
Kyu Ki Isse Tumhare Dost Ziyada aur Dushman Kam Honge”
Hazrate Ali(RaziAllahu Anhu)

3.7/5 - (7 votes)

Leave a Reply

Related Posts: