Mustawrid (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :
“Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai.”
Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Allah Ta'ala ne Mujhe Jis Ilm-o-Hidayat ke Saath Bheja hai Uski Misaal Uss Baarish ki Tarah hai Jo kisi Zameen par Khub Barsey. (Aur jis Zameen par Barish barsi woh 3 Tarah ki thi)" 1). Uska Ek Tukda Umda Tha Jisne Paani ko Apne Andar Jazab kar liya, phir Khub Ghaas aur Sabza Ugaya. 2). Zameen ka Ek Dusra Umda Tukda…
Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal Junge-Ohad Me Sahaba Ne Ek Nafarmani ki thi RasoolAllah (ﷺ) ki, Allah Rabbul Izzat ne Uska Kya Natija Kiya Hum Sab Jantey Hai, Lekin Afsos Ke Hum Uss Wakiye Se Ibrat Hasil Nahi Karte ,.. *Junge Ohad me Aap (ﷺ) ne 50 Sahaba ko Pahaad ke Dusri taraf Khada Kiya, ke Jung Ek Taraf Chal rahi hai , Lekin agar kahi Dushman Dusri Taraf Se Aakar Pichey Se Waar…
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Jisne Nashe ki wajah se Ek Namaz Chorh di maano uski… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abdullah ibn umar (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shakhs ne Nashe ki wajah se ek Namaz chorh di to wo aisa hai jaise ki Duniya aur uska sara saman is ka tha aur us se wapas cheen liya gaya. aur jis shakhs ne nashe ki wajah se char baar Namaz corh di tou Allah subhanahu par lazim hai usko Teenat-Al-Khabal peelaye, pucha gaya ki Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) !…
Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish ke Milti tou ۞ QAUL-E-MUBARAK ۞ Umar Bin Abdul Aziz (R.A.) farmate hai, "Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish aur Takleef Ke Hoti tou Duniya hi Jannat hoti." 📕 Bujurgo ke Aqwal
Farishton Ki Duniya - World of The Noble Angels https://www.youtube.com/watch?v=b3GZuS82mmY Farishton Ki Duniya World of The Noble Angels by Adv. Faiz Syed Farishton Ki Duniya Kaisi hoti hai, Unke Martbe aur faraiz kya hai iske bare me tafseeli jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. jazakAllahu khairan kaseera. Farishton ki duniya, farishton ki zindagi, world of noble angels, Farishton ki duniya Ep#, Farishton ki nagri, farishtey salami dene wali, farishtay full movie, farishtay ki duniya, farishtay aur…
Momin aur Badkaar ki Misaal Momin aur Badkaar ki Misaal Roman Urdu ۞ Hadees: Ka'ab (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Momin ki Misaal paudhey (Plant) ki pehli nikli hui hari Shaakh jaisi hai ke jab bhi hawaa chalti hai usey jhukaa deti hai phir wo seedha ho kar Musibat bardasht karne me kamiyab ko jata hai aur Badkaar (hypocrite) ki Misaal Sanobar ke Darakht (pine tree) jaisi hai ke sakht hota hai aur seedha khada rehta hai, yahan tak ke Allah…
Allah ki Raah me Kharch karne ki Misaal Allah ki Raah me Kharch karne ki Misaal ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Unki Misaal Jo Apne Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali nikley Aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou Daane nikle Aur Allah Uss se bhi Zyada Barhaaye jiske liye chahe aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala hai." 📕 Sureh Baqrah 02:261 » Wajahat: *Allah ki Raah me Kharch Karnewale ke Talluk se Iss Ayat me Allah Ta'ala Ek Misaal…
Nek Dost aur Burey Dost ki misaal ✦ Mafhum-e-Hadith: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Nek Saathi (Dost) aur Burey Saathi (Dost) ki Misaal mushk bechney waley Attar aur Lohar jaisee hai, Mushk Bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon me se ek na ek zaroor pa loge. ya tou Mushk hi kharid loge ya kum se kum Mushk ki khushbu tou zarur pa logey. Lekin Lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum…
Tohfa de kar waapas lene wale ki Misaal Tohfa de kar waapas lene wale ki Misaal Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala Uss Kutte ki tarha hai jo Qai (Vomit) kar ke fir se Chaat leta hai." 📕 Sahih al-Bukhari 2589📕 Sunan Ibn Majah 2476
Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo ❝Allah ne tumhe jo kuch de rakha hai, uske zariye Aakhirat waala ghar banaane ki koshish karo aur duniya me se bhi apne hisse ko nazar andaaz na karo.❞ 📕 Surah Al-Qasas 28:77
Musalman ki Misaal Samundar ke Jhag jaisi hogi Hadees of the Day Musalman ki Misaal Samundar ke Jhag jaisi hogi Hazrate Soban (R.A) Se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Qareeb hai ki Dusri Qaumein Tum par Aisee Toot Parhegi Jaisa bhuka Khane par Toot parhta hai." Kisi ne Arz kiya - "Ya RasoolAllah (ﷺ) Kya Hum Uss Waqt Bahoot kum Hongey ?" Farmaya ki: "Nahi Balki Tum Uss Zamaney me Bahoot Ziyada Hongey, Lekin Tum Sailab (Ya Samundar) ke Upar Tairtey huye Koodey kachrey (Ya…
Jis Seene me kuch bhi Quraan na ho wo Wiraan Ghar ki… Wiraan Ghar ki Misaal Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Seene me kuch bhi Quraan majeed na ho, Wo wiraan ghar ki misaal hai." 📚 Tirmizi J:4 S:419, Hadees:2922
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Insan Duniya me ess Qadar Mashghool hota hai ke ... "Insan Dunia me Ess Qadar Mashghool hota hai ke,Usey Pata bhi nahi chalta ke Jis Kapde se Uska Kafan Ban'na hai Wo Bazar me aa chuka hai." 📕 Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) "इंसान दुनिया में एस क़दर मशग़ूल होता है के उसे पता भी नहीं चलता के जिस कपडे से उसका कफन बनना है वो बाजार में आ चूका है।" 📕 हजरत अली रजि०