Quran padhne wale ki fazilat

Quran padhne Wale ki Fazilat

Hadees of the Day

Quran padhne Wale Nek Farishto ke Sath Honge

Aisha (R.A) se riwayat hai ki
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho,
tou wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga.
jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain.

Aur Jo Shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai tou
usko Dohra (double) Ajar milega.”

📕 Jami’at Tirmidhi, Hadith#813

♥ Subhan’Allah !
Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey !!!

4.8/5 - (6 votes)
Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me

Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me

Hadees of the Day

Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me

Mustawrid (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :

“Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai.”

📕 Sunan Ibn Majah, Vol-3, 989-Sahih

5/5 - (11 votes)

Ek Shakhs Ki Khairaat

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hain Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey …

Read More