بِسْمِ الله – Bismillah
۞ Hadees: Abu Al Malih Radi Allahu Anhu se riwayat hai,
Main RasoolAllah (ﷺ) ke peeche sawar tha ke Aap (ﷺ) ki sawari phisal gayee,
maine kaha shaitan marey tou Aap (ﷺ) ne farmaya ‘aise na kaho ke Shaitan marey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya’ ,
isliye (jab kabhi thokar lage ya phisal jao to) kaho Bismillah (Allah ke naam se) kyunki jab tum ye kahoge to wo pichak kar itna chota ho jayega Jaise makhkhi.”
[Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1545-Sahih]
[post-content id=”20074″]