Blue Masjid (Turkey)
Turkey ke sabse bade shahar Istanbul me bani Sultan Ahmad Masjid jise “BLUE MASJID” ke naam se bhi jana jata hai, dunia ki sabse badi masjidon me se ek hai.
Is masjid ko 1609 se 1616 ke douran Turkey ke badshah “Sultan Ahmad 1st” ne apne hunarmand architect “Sedefkar Mehmed Agha” se banwaya tha.
Masjid ke andruni hisse ko sajane ke liye lagbhag 20,000 neeli tiles ka istemal kiya gaya hai jisse is masjid ka rang neela dikhayi deta hai or sath me 60 tulip designs ka istemal kiya gaya hai.
Is masjid me lagbhag 10,000 log sath me namaz pard sakte hain. Iski Length 73 Meter (240ft) Width 65 Meter (213ft) hai.
Is masjid me lagbhag 5 general aur 8 common Gumbad hain, jisme sabse bade gumbad ka Diameter 23.50 meter or hight 43 meter hai.
Masjid ka central gumbad sabse bada hai jisme charon taraf se 28 khidkiyan bani hui hain. Khidkiyon ke liye rangeen kaanch Sultan ko Venice ke signoria ka tohfa tha.
Is masjid me 6 Minaren hain jinki unchai 64 meter hai.
Masjid me Quran ki kuchh Aayet likhi gayin jo masjid ko or zyada khubsurat banati hain inhein Sayyed Qasim Ghubri ne likha hai.
Ye masjid hamesha roshni se jagmagati rehti hai kyunki isme lagbhag 260 rangeen dhabbe dar wali shishe ki khidkiyan moujood hain.
Masjid ki ek khaas baat ye bhi hai ki Jume ki namaz ke mouke par jab Imam bayan ke liye khade hote hain to masjid ke har kone or har jagah se Imam ko asani se dekha or suna ja sakta hai.
2006 or 2014 me Germany ke Sultan Pope Benedict XVI ne is masjid ka doura kiya tha
2009 me USA ke Ex. President Barak Obama Istanbul pahunche or Turkey ke Prime Minister Recep Tayyip Erdogan ke sath Blue Masjid ka dora diya kiya.
Aur Dekhe: