Hadith: Bina soche samjhe kuch bhi bolne se bachiye
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Allah Subhanahu Nafrat karta hai tad-tad bolne wale aise Mardo se jo apni Zuban ko harkat dete rahte hain jaise Gaay (Ghas khane mein) apni zuban ko harkat karti rahti hai (yani bina soche samjhe jo jee mein aata hai bak jate hain).”
Allah se kuch bhi Chupa nahi: Quran 27:82 Allah se kuch bhi Chupa nahi Allah Ta'ala ka farman hai: "Aur Aap ke Rabb se koi cheez zarrah barabar bhi ghaib nahi na Zameen mein aur na Aasman mein." 📕 Surah An-Naml: 82 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 "Jab darakhton, zarron, jaanwaron aur tamaam tarr-o-khushk cheezon ke haal se Allah waaqif hai to bhala yeh kaise mumkin hai ke un bandon ke aamaal se woh be-khabar ho jinhein Rabb ki ibadat karne ka hukm diya gaya hai." 📕 Tafseer Ibn-e-Kaseer
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Hadees: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Patthar Kanta aur Haddi (wagairah) ka Raste se hata dena Sadqa (Sawab ka Kaam) hai." 📕 Tirmidhi, Hadees 1956
Jo Mushkil Waqt me bhi Allah Ki Raah me Kharch Karte Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch Karte ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch karte aur Apne Gusse ko roktey hai, Allah Ta'ala Unsey Mohabbat rakhta hai." 📕 Surah: Al-Imran; 3:134
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7072
Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Taala farmata hai: "Mere Bando ko Khabar de do Ki Main bohot bakhshne wala aur bada hi Meharbaan hoon. Aur Saath hi Mera Azab bhi Dardnak hai." 📕 Quran 15:49-50
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Dour-e-Jahalat Ke Nek Amal Ka Bhi Badla Milega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha: *Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ? Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,.. Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon…
Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai? Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai Hadees: Sahaaba (R.A) ne arz kiya : Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! kya koi aadami apne maa baap ko bhi gaali deta hai? Aap (ﷺ) ne farmaaya : "Haan! aadmi kisi ke baap ko gaali deta hai to woh us ke baap ko gaali deta hai, aur kisi ki maa ko gaali deta hai to woh us ki maa ko gaali deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 1902
Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa" *Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya: "Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. " - (Tabarani: Chapter-'Ikramul Muslimeen') *Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke - "Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,.." .. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!! *Yakinan…
Manfaat Ek hai is Qaum ki, Nuksaan bhi Ek : Dr. Allama Iqbal नफा एक है इस कौम का नुकसान भी एक सीरिया, बर्मा, पलेस्थिन और दुनीया के किसी भी कोने में कोई मुसलमान क़त्ल कर दिया जाता है तो कोई नहीं पूछता के वो किस फिरके का था, बरेलवी था, अहले हदीस या देओबंदी था। मसलक क्या था उसका ? कही फलाह और फलाह का मुरीद तो नहीं था? बल्कि सबने रोकर उनकी तकलीफ का इजहार किया। इसी तरह कोई मुसलमान साइंस में कोई महारत हासिल कर ले तो सबको ख़ुशी होती…
Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah Taala farmata hai: "Allah ke Alawa jin jin ko tum pukarte ho, Woh Hargiz ek Makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarche wo sab is kaam ke liye ikhatte hi ho jaye." 📕 Quran 22:73
♫ Saher aur Iftar Ka Tariqa aur Kuch Galat Fahmiya Saher Aur Iftar ka Tariqa aur Kuch Ghalat Fahmiya Saher aur Iftar Kaise kare, uska mukammil Tariqa aur uske talluk se Kuch Galat Fahmiyo ka ijala janne ke liye is mukhtsar si audio clip ka jarur mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chhut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫…
Hadees: Koi Padosan apni padosan ke tohfe ko mamuli… Hadees: Koi padosan apni padosan ke tohfe ko mamuli na samjhe Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Aye Musalman Aurto ! koi padosan apni padosan ke hadiye (tohfe) ko mamuli na samjhe, agarche Bakri ka khur hi ho." 📕 Bukhari, Hadees 6017