Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai 3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai Ummaha tul Momineen Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "Teen(3) tarah ke logo par se qalam utha diya gaya hai (yaani unke gunah nahi likhe jatey), Ek tou sonewala jab tak ki jag na jayein, aur bachcha jab tak ki wo bada na ho jayein, aur pagal jab tak ki wo hosh me na aaye (yaani achchha na ho jayein)." 📕 Sunan an-Nasa'i, Jild 2,…
Gunaho ko Mitaane wala Amal: Hadees ۞ Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) farmaya karte thay - "Jab Insan Kabeerah (Badey) Gunahon se bach raha ho tou Paanch Namazen, ek Jumah se (doosre) Jumah tak aur ek Ramzan se Doosre Ramzan tak, ke beech mein hone wale Gunahon ko mitane ke sabab hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees no. 552 ♥ In’sha’Allah ul Azeez!!!Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,..
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?" Allah Taala ne farmaya ke: "Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de." 📕 Sho'abul Iman 8327
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Jo Shakhs Acchi Tarah Wuzu kare tou Uske Gunaah Badan se Nikal Jaate hai Yahan tak ki Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal Jaate hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 245
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Devar / Jeth toh Mout ki tarah hai: Hadees Devar / Jeth to Mout ki tarah hai: Hadees Uqba (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum log ajnabi aurto ke paas jaane se bacho! Ek Ansari Sahabi ne sawal kiya ke Aye Allah ke Rasool ! Dewar ke baare me Aap ka kya khayal hai?" Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Dewar to mout hai (is liye aurto ko unse parda karna zaruri hai)." 📕 Bukhari, Hadees 5232 NASIHAT : Ulmao ka kahna hai ki…
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407
Mushrik ki Misaal ~ Aasman ki bulandiyo se gir jane wala Mushrik ki Misaal ~ Aasman ki bulandiyo se gir jane wala ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Allah ke sath kisi ko Shareek thehraata hai, wo aisa hai goya aasman ki bulandiyo se wo gir gaya aur aasman ki bulandiyo se girne ke baad usey ek parinda uchak le jaye ya fir koi hawa chale aur jaha chahe usey tinkey ke jaisa uthakar fenk dey." 📕 Al-Quran; Surah Al-Hajj 22:31
Neki Ka Hukm Dena aur Burayi se Rokna Farz hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazarte Abdullaah Bin Mas'ood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaaya : "Allah ne mujhse pehle Kisi Ummat mein jitne bhi Nabi bheje, unki Ummat mein se unke kuch Hawaari aur Saathi hote they jo unki Sunnat par chalte aur unke Hukm ki Ittebaa' karte they. Phir aisa hota tha ke unke baad Naalayaq log unke Jaanasheen ban jaate they. Woh Zabaan se aisi baatein kehte jin par khud Amal nahi karte…
Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Allah Ta'ala ne Mujhe Jis Ilm-o-Hidayat ke Saath Bheja hai Uski Misaal Uss Baarish ki Tarah hai Jo kisi Zameen par Khub Barsey. (Aur jis Zameen par Barish barsi woh 3 Tarah ki thi)" 1). Uska Ek Tukda Umda Tha Jisne Paani ko Apne Andar Jazab kar liya, phir Khub Ghaas aur Sabza Ugaya. 2). Zameen ka Ek Dusra Umda Tukda…