Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai
Hadees: Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke –
Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai. Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai,
SABAQ: Bhai ke Samne Muskura dene se Muraad Apne Momin Bhai ko Dekh Khush’hali ka Izhaar karna hai Jo Allah ke Nazdik Ek Sadqa hai, thik Usey bhalayi ka Hukm dena aur Burayi se rokna bhi Ek Sadqa hai, aur kisi bhatke huye ko Raah Dikhana bhi Ek Sadqa hee hai.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se jyada Amal ki toufiq de.
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.