Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me hoaur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai,Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo.Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye.”
Ilm Ki Ahmiyat: Part-7 Allah Rabbul Izzat ne Quraan mein baar baar musalmano ko ubhara hai duniyawi ilm hasil karne ke liye, sharayi ilm toh yakinan hasil karna hai, yeh toh bunyadi hai iski... lekin uske saath-saath duniyawi ilm bhi hasil karna hai, jo bohot se logon ne isko tark kar diya. Momin ki sifat ke woh zikr karte hain Allah ka. Allah Rabbul Izzat iske talluk se Quraan mein ek jagah farmata hai: "Yakinan zameen-o-aasman ki paidaish mein, aur raat aur din ke…
Namaz ka tark karna Kufr ka Elaan hai - Namaz… ✦ Hadith: Jaabir (R.A) riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Aadmi aur Shirk o Kufr ke darmiyan fark karne wali cheez Namaz hai.’ (Muslim: al Eman 82) Is ka mtalab ye hai ke Islam aur Kufr ke darmiyan Namaz deewaar ki tarha hai. Doosre lafzo’n me namaz ka tark(chorna) Musalman ko Kufr tak paho’nchane wala amal hai. ✦ Hadith: Bareeda (R.A) riwaayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Humare aur Munafiqo’n ke darmiyan ahad namaz hai. Jis…
Ilm ki Ahmiyat: Part-1 〘 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 〙Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par pehli wahi nazil hoti hai, Surah Alaq (96) ki ibtedayi 5 aayate aap par nazil hoti hai "Iqra' Biasmi Rabbika al-ladhi Khalaqa" (parh apne rab ke naam se jiss ne paida kiya)" Jab farishtey Jibrayil (Alaihi Salam) aaye aur RasoolAllah se kaha: "Iqra! (padho)" tou Aap ﷺ ne kaha: "Maa Ana'bi Qaari ! (Mai padhna likhna nahi janta)"Fir uss awaaz ne jordar kaha: "iqra!" tou…
Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Kya ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar… Kya Ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar Namaz padh Sakte hain? 👫👬👨👩👦👦 Jawab: Padh Sakte hain ✔️ 👉 Usme Imam Mard hoga, aur Mard ki Saff (Line) Aage lagegi aur Aurto ki saff (Line) uske baad se lagegi (Chahe 1 hi Aurat kyu na ho) 👉 Hadees: Hazrat Anas Bin Malik se riwayat hai ke Unki Nani Malika ne Rasool'Allah ﷺ ko Khana Taiyar Karke Khane ke liye Bulaya. Aap ﷺ ne Khane ke baad Farmaya…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 14 Sunnat-e-Rasool ko Tark karne Waley ka Duniyawi Anjaam: » Aayiye Aagey aur Kya Nuqsaan Hoga Duniyawi Aitbaar se Agar Sunnat-e-Rasool Ko Hum Chorr Dengey … • Allah Rabbul Izzat Surah Anfal ki Ayat Number 46 me Farmata Hai: ۞ Al-Quran ۞ "Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho! Ita'at Karo Allah ki aur Ita'at karo Uskey Rasool ki aur Aapas me Ikhtelaf Paida na Karna! Agar tum aisa karoge tou Tum Buzdil bana diye jaoge aur Tumhara Iqbaal jata rahega…
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
♫ Ramzan ki Fazilat - Ahmiyat aur Masaail ♫ Ramzan ki Fazilat - Ahmiyat aur Masaail Free Download Audio Bayan of Ramzan Ki Fazilat, Ahmiyat aur Masaail, Shabe Qadr ki Hakikat aur Fazail by Adv Faiz Sayed. ♪ Ramzan ki Fazilat – Part (I) ♪ Ramzan ki Fazilat - Part (II) ♪ Ramzan ki Fazilat - Part (III) ♪ Shabe Qadr – (Ramzan Ki Fazilat) – Part (IV) ♪ Roze Chodney Se Bachey – (Ramzan Ki Fazilat) – Part (V)
Ilm Ki Ahmiyat: Part-12 ✦ AVERROES (Ibn Rushd): Jo Log Falsafa(Philosophy) Padhtey hai Wo Jarur Jantey Honge Averroes Ko, Inka Asal Naam "Ibn Rushd" Tha ,Ye Bohot Badey Falsafi (Philosopher) They, aur Tamam Ki Tamam Jitni Bhi Paintings "Leonardo Da Vinci" Ne Banayi Jo Bohot Mash’hur Italiyan Painter Tha! Wo Jarur Apni Paintnings Me Har Jagah (Aksar Paintings Ke) Koney Me Kahi Na Kahi Ibn Rushd Ko Khada (Mention) Karta Hai Ke Yeh Iss Musalman Scientist Ki Deyn Hai Jo Europe Ke Andar Renaissance…
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai.– (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai.– (Sunan ibn Majah, Vol-1,…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-3 Ilm Ki Ahmiyat aur Fazilat ke Taalluk se Youn Tou Alllah Rabbul Izzat ne Quraan Me Kayi Ayate Nazil Ki Hi, Insha'Allah Kuch Ka Tazkira Hum Iss Post Me Karne Ki Koshish Karenge: ✦ 1. Ilm Me Barkat Ke Liye Behtareen Dua: “ Wa Qul Rabbi Zidni Ilmaah" (Aye Nabi Dua Kijiye Apney Rabb Se Ke) Aye Allah Mere Ilm Me Ijafa Kar. (Al Quran, Surah Tahaa 20:114) Ye Hukmi Aayat Hai aur Andaja Lagayiye Ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) Ko Hukm…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-11 Yaad Rakhiye Maazi (Past) me Humare Halaat aise nahi They, Wo Musalman Jo Acche Musalman They Sath Me Duniya Ka Bhi Ilm Khub Rakhtey They. * Badey-Badey Jo Kisi Maslaq Ke Qaazi, Haakim Hua Karte; Sath Me Badey-Badey Scientist Bhi Hua Karte They. Badey-Badey Fun Ke Maahir Bhi Hua Karte They. * Aur Yeh Musalmano Ki Deyn Hai, Aaj Jo Itni Saari Cheeze Hum Dekhtey Hai, Yeh Humare Aslaf Ki Deyn Hai Jiska Duniya Aaj Fayda Utha Rahi Hai ,…
Musalman Bhai ki Ahmiyat: Hadees Hazrate Anas (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya, "Tum me se koi shakhs iman wala na hoga jab tak Apne bhai ke liye wo na chahey jo apne Nafs ke liye chahta hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 13 प्रेषित के अनुयायी अनस (र.अ) वर्णन करते है के, प्रेषित मुहम्मद(ﷺ) ने कहा, "तुम में से कोई भी ईमानवाला नहीं होगा जब तक कि वह अपने (मुस्लिम) भाई के लिए भी वह पसंद न करे जो खुद के लिए पसंद…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-10 Ilm Insan Ko Duniyawi Gumraahiyo Se Bachata Hai , Ilm Insan Ko Dini Gumrahiyo Se Bachata Hai , Ilm Insan Ko Barjakh Me Bachayega , Ilm Insan Ko Aakhirat Me Nafa Pohchayega ,.. Tou Ilm Badi Azeem Cheez Hai Mere Bhaiyo aur Behno , Aur Aaj Ke Daur Me Tou Mai Kahunga – "Knowledge is Power" (Ilm Taaqat Hai) ✦ Mafhoom-e-Hadees: Ilm Ki Fazilat ke Talluk se Ek aur Riwayat Aati Hai: Abdullah-Bin-Umro-Bin-Aas (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay…