Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke:
Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:
“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga.
Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur parwah tak naa karunga.
Aye Aadam ke Bete! Agar tu itne Gunah kar ke aaye ke Roo-e-Zameen bhi bhar jaye tou Main bhi Zameen bhar Magfirat ke sath tujh se Milunga (yaani bharpoor magfirat kar dunga) bashartey ke tuney Shirk naa kiya ho.”
📕 Jami At-Tirmidhi 3540-Hasan
♥ In sha Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat Hume Tamam kism ke Khuley Aur Chipey Shirk Se Bachaye,.
– Humey Kitabo Sunnat ka Muttabey Banaye,..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan Par Zinda Rakhey ,..
– Khatma Humara Imaan Par Ho ,..
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen,
Ameen ! Allahumma Ameen …