Aulaad ki Tarbiyat – Part 3
B). Tarbiyat ka 2nd Marhala ›
Allah se Nek Aulaad talab karey:
Ab Acchi Biwi ke intekhab ke baad jab Nikaah ho jaye tou Allah se nek Aulaad talab karey. Khalis Apne Rab se Dua karey ke – “Aye Allah hume Nek Aulaad dey, Saleh Aulaad ata farma”
Yaad rakhiye – ye bhi Aulaad ki Tarbiyat ke marhale me se hai. isiliye Kyunki Allah Apne Bando ko waise hi ata karta hai jaisa ki wo tadap rakhtey hai. lihaja apne Rab se Nek Aulaad ki hajat bhi tarbiyat ke marhalo me se ek marhala hai.
Aur Nek Aulaad ki talab ki kitni Ahmiyat hai iske talluk se Allah Rabbul Izzat ne Quraan me apne 2 Ambiyao ki Duao ka tazkira kiya ke –
Ek jagah Ibrahim (Alaihi Salam) Dua karte hai:
Rabbi Habli Minn Salehin
(Aye Allah ! mujhe Nek Aulaad ata farma)
Surah As-Saffat 37:100
Aur dusri jagah Allah Rabbul Izzat ne Zakariya (Alaihi Salam) ki Dua ka tazkira karte hue farmaya:
Rabbi hab lee mil ladunka zurriyyatan taiyibatan innaka samee ud dua
(Aye Allah mujhe Aulaad ata farma Aisi Aulaad jo Acchi ho)
Aale Imran 3:38
Tou Aulaad ki Tarbiyat ka dusra marhala ye hai ke apne Rab se nek aur Saleh Aulaad talab karey.
# Aulad ata karna sirf Allah ke zimme hai:
Yaad rakhiye Aulaad dena aur na dena ye sirf aur sirf Allah ke zimme hai.ispar Allah ke siway hargiz koi Qadir nahi. warna dekha jata hai ke Nikaah ke ek-do Saal tak agar Aulaad na ho tou bas lag gaye hama Aksaam ke Shirko Biddato me. Allah hidayat de humare aise Muslaman Hazraat ko jo aisi Shirko Biddate karke Allah ki nazil karda Hidayat ki khul kar mukhalifat kartey hai.
Allah Rabbul Izzat iske talluk se Quraan me Wajeh farma chuka hai ke:
Saare Asmaan wa Zameen ki hukumat Allah hi ki hai, wo jo chahta hai paida karta hai,. aur jise chahta hai sirf betiyan deta hai aur jise chahta hai mahaj beta ata karta hai. ya bete-betiya dono kism inayat karta hai aur jisko chahta hai baanz bana deta hai, beshaq woh bada wakifkar qadir hai
Surah Ash-Shuraa 42: 49-50
Lihaja ye Allah ki marji hai ke kisko Aulaad ata karna hai, aur kisko nahi… isme Allah ke alawa koi Qudrat nahi rakhta.
To be Continue …