Ashra Zul-hijjah Mein Kasrath Se Karne Waale Amaal

♥ Mafhoom-e-Hadees: Sayyiduna Abdullah Bin Omer (Razi Allahu Anhu) Bayan Karte hai Ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
“In Dino (Ashrah Zilhijjah, 1-10) Se Zyadah Azmat Waale Din aur In mein Kiye Gaye A’maal se Zyadah Mahboob Amal Allah Ta’ala ke Nazdeek koi nahi, Lehaza Tum In (10 Dino) Mein Kasrath se Tahleel (La ilaha illallah) aur Tahmeed (Alhamdulillah) bayan karo.”
– (Saheeh Abi Awanah 2/74, H:2428, Iski sanad hasan hai, dekhiye Mahnama Al hadees Shumara:122, safa:13)


✦ Tahleel aur Tahmeed ki Fazilat:

Jabir Bin Abdullah (Razi Allahu anhu) kahte hai ke, Maine RasoolAllah (Sallallahu Alaihi wasallam) Ko Farmate Hue Suna: “Sabse Afzal Zikr La ilaha illallah Hai Aur Sabse Afzal Dua Alhamdulillah Hai”.
– (Sunan Tirmizi:3383, Allama Albani Ne Ise Hasan kaha hai)


✦ Abu huraira (RaziAllahu anhu) bayan Karte hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi wasallam) Ne Farmaya:
“Ye Baath ke Mai Subhan Allah Wal Hamdulillah Wa la ilaha illallah Wallahu Akbar Kahun, Mujhe Un Tamam chizon Se Zyada mahboob hai Jinn par Suraj tulu hota hai, (Is’sey murad Ke ye zikr kayenath ki har chiz se zyada pasand hai)
– (Sahih Muslim:Nuskha Darussalam 6847)


Tahleel aur tahmeed ke Ahadees me Alag alag alfaz aayien hai Masalan: Ye Tahleel 100 baar padhe:
– (Sahih Muslim:6842)


✦ Tahleel aur Tahmeed Ke jitne Alfaz Ahadees me Aayein hai unn sab Azkaar ka Khas in Ayyam (Zilhijjah Ke 1-10 days) Mein Ehtemam kare aur Fuzul baato aur La yani gup shup se Parhez kare.

♥ inshaAllah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik de,.

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

AlhamdulillahLa Ilaha IllallahQurbani Ke MasailQurbani Ki HikmatQurbani kya haiSubhan Allah Wal Hamdulillah Wa la ilaha illallah Wallahu AkbarTahleel ki AhmiyatTahmeed ki FazilatZul Hijjah ki Ibadat
Comments (0)
Add Comment


    Related Post