Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal
۞ Hadees: Hazrate Samrah (R.A.) ne farmaya,
Hum Darbaar-e-Nabuwat (ﷺ) me haazir they ke, Ek Shakhs haazir hua aur arz kiya
“Ya Rasool’Allah (ﷺ) ! Allah Ta’ala ke Qareeb tar Aamal kya hain? ”
Aap (ﷺ) ne farmaya “Sach Bolna aur Amanat ka Aada karna.”
Arz kiya gaya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye! ”
Aap (ﷺ) ne farmaya :
“Tahajjud ki Namaz aur Garmiyon ke Roze.”
Phir Maine arz kiya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye!”
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Zikr-e-Elahi ki Qasrat karna aur Mujh par Durood-e-Paak Padhna tangdasti ko door karta hai.”
Mai ne arz kiya “Kuch aur Irshaad farmaiye.”
Aap (ﷺ) ne farmaya
“Jo kisi Qoam ka Imaam baney tou Halki Namaz parhaye, Kyun ki Muqtadion me Burhay(Oldage) bhi hotey hai, Bimaar bhi, Bacche bhi aur Kaam kaaj wale bhi.”
📕 Al-Qawl Al-Bade’e, Pg 129
📕 Sa’adat Al-Daarain, Pg-714