Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai Jhuth bolna Kaisa hai? Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai. Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge. ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Jhootho par Allah ki Lanat "Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai." "बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|" 📕 Surah Aal-e-Imran 3:61 Jhuth Gunah ki taraf le jata hai…
Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye… Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)" 📕 Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993-Hasan
Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou ... Hadees of the Day Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah ki Qasam! agar tumhare Zariye ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou wo Tumhare liye Surkh Untoun (Camel) se behtar hai." 📕 Muslim, Hadees 2406 Surkh Unthon ki Naslo me se sabse behtareen Nasl hai, aur Allah Uss Bandey se jyada raazi hota hai Jo Logon Me Awaam me hidayat ki Dawat deta hai,…
Allah tumhare Dil aur Amal ko dekhta hai Allah tumhare Dil aur Amal ko dekhta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Beshaq Allah Ta'ala Tumhari Suraton aur Tumhare Malon ko Nahi Dekhta Balki Tumhare Dilon aur Tumhare A'amaal ko Dekhta hai.” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2564
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jab Allah Ta'ala ne Makhlooq ko Paida kiya tou Arsh ke Upar Apne Paas apni Kitab me likh Diya ki Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 3194
Hadith: Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam… Hadith: 23-March: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ❝ Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam nahih hai, balke asal maaldari tou dil ki maaldari hai. ? Ibn Majah; Hadees 4137
Ibn Aadam Allah ko Gaali deta hai, Jab wo kehta hai ... ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah ko Gaali na do Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta'ala Farmata Hai: Ibn Aadam Mujhe Gaali Deta hai, Halanki Uska Yeh Haq Nahi hai. Uska Mujhe Gaali Dena Yeh Hai ki Woh Kehta Hai ki Allah ne (Isa Alaihis Salam ko) Apna Beta Banaya Hai, Halanki Main Ek Hun, Beniyaaz hun, Na Mere liye koi Awlaad hai Na Main kisi ki Aulaad hun aur na Koi Mere Barabar hai. 📕 Sahih Bukhari: 4974
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed Unche hai aur baaki nichey. aur Kya Sayed par Zakaat Haram hai ? Aayiye Iski Hakikat Jan'ne ki koshish karte hai: Sabse pahli baat yeh hai ke “Sayed Afzal hai’ aisa logon ne kuch cheezo ko manmane dhang se bana liya, jabki Shariyat ne is cheez ki Ijajat nahi di.…
Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Hadees: Abu Hurraia (R.A) ka bayan hain ke,Maine RasoolAllah (ﷺ) Ko Farmatey Huwe Suna - "Jis Roz Allah ne Rehmat ko Paida kiya tou Uskey 100 Hissay kiyeaur 99 hissay Apne Paas rakh kar Ek (1) hissa Apni Saari Makhlooq ke liye Bhej Diya. Pas Agar Kafir bhi Yeh Jaan le ke Allah ke Paas kitni Rehmat hai touWoh bhi Jannat se Mayoos na ho aur agar Momin yeh Jaan…
Hadees: Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa… Nahaq faisla karne ka Anjaam Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa Khoonrezi aam ho jati hai." 📕 Mu'atta Malik, Hadees 1670
Islamic Quiz 267 : Quran mein ek surah hai Surah… Quran mein ek surah hai Surah Naba, ismein Naba ka matlab kya hota hai? | Options Are: A. Aam Khabar, B. Acchi Khabar, C. Badi Khabar, D. Buri Khabar