Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Zinakari, Resham ka Pahenna, Sharab Pina aur Gaane bajane ko halal bana lenge..." - Sahih Bukhari: Hadees 5590 Related Post Sharab se bacho kyunki wo har burayi ki chabi hai Imaan aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakte इस्लाम में शराब पीने की क्यों मनाही है – Why Alcohol prohibited in Islam ? Sona (Gold) Aur Resham Mardo Par Haraam Jab bohot jyada Zina hone lagega tou
Kya Ek Musalman Dusre Musalman ko Baddua de Sakta hai? Aajkal muashre me dekha jata hai ke Musalmano ka aapas me badduwa dena aam se ho gaya hai, lekin kya Shariyat ne hume is baat ki ijajat di hai ke Musalman aapas me Baddua de, Kya musalman ko di hui bad'dua lagti hai ? janne ke liye is mukhtasar se video bayan ka mutala kare.
Allah ke siwa koi Mabood nahi Allah ke siwa koi Mabood nahi Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Allah ke Sath kisi aur ko Mabood na Pukaarna, Uske Siwa koi Mabood nahi." 📕 Surah Al-Qasas 28:88 Allah hi har Cheez ka paida karnewala hai “Logo! Wahi Allah tumhara Parwardigar hai uske siwa koi mabood nahi, wahi har Cheez ka paida karnewala hai, to usi ki Ibadat karo wahi har cheez ka Nigehbaan hai” 📕 Suran Al-Anam 6:102 Allah hi har Cheez par Qadir hai "Wohi Allah…
Reedh ki Haddi se Insan Dubara Paida kiya jayega Reedh ki Haddi se Insan Dubara Paida kiya jayega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : “Insan (ke Jism) ka har Hissa Zameen kha Jaati hai Siwaye Reedh ki Haddi (Tailbone) ke. Usi se Woh Paida hua hai aur Usi se Woh (Mout ke baad) Dobara Paida kiya Jayega.” 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2955 (7415)
Aadmi ne Pait se jyada Bura koi Bartan nahi bhara Hadees: Mikdam Ibn Madikarab (R.A) se riwayat hai ki, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh farmate huye suna ki - "Aadmi (Insan) ne Pait se Jyada Buraa koi Bartan nahi bhara. Ibne Aadam ko Chand Luqme Kaafi hai Jo Uski Peeth Ko Sidha Rakhe Agar Jyada Khana Zaruri ho tou Tihaai Pait Khane ke liye, Tihaai Paani Ke Liye aur Tihaai Saans Ke Liye.." 📕 Tirmizi, Hadees 2380
Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida… Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Allah Subhanahu 60 Saal se upar wale logo ka koi… ✦ Hadith: 60 Saal se jyada umar wale logo ka koi bahana Qubul nahi hoga ✦ Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu ne us insan ke liye uzar(excuse,bahana) ke silsile mein hujjat tamam kar di hai jiski maut ko usne rok kar rakha yaha tak ki wo 60 saal ki umar ko pahuch gaya." (yani kisi insan ki umar 60 ki ho gayee to phir Allah subhanahu ke waha uska koi bahana nahi chalega…
Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek… Hadith: Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek ataa karta hain ✦ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain. Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai, ya phir uski koi taklif us…
Rishte Naate Jodne ka Matlab ye Nahi ki sirf Badla… Rishte Naate Jodne ka asal Matlab Burai karne wale se Bhalai karo Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya ki: "Kisi Kaam ka Badla dena Sila Rehmi nahi hai balki Sila Rehmi karne wala wo hai ki jab Uskey Sath Sila Rahmi ka mamla na kiya ja raha ho tab bhi wo Sila Rehmi kare." 📕 Bukhari, Hadees 5991
Aur Har Cheez ka Allah ne joda paida kiya Aur Cheez ka Allah ne joda paida kiya Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Aur har cheez ko humne joda joda paida kiya hai taaki tum nasihat hasil karo." 📕 Al-Quran; 51:49
Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai Hadees of the Day Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai TRANSLITERATION ★ Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne faramya, ‟ Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai)." HINDI ‟ क्या मैं…