Hadees: Abu Hurraia (R.A) ka bayan hain ke, Maine RasoolAllah (ﷺ) Ko Farmatey Huwe Suna –
“Jis Roz Allah ne Rehmat ko Paida kiya tou Uskey 100 Hissay kiye aur 99 hissay Apne Paas rakh kar Ek (1) hissa Apni Saari Makhlooq ke liye Bhej Diya.
Pas Agar Kafir bhi Yeh Jaan le ke Allah ke Paas kitni Rehmat hai tou Woh bhi Jannat se Mayoos na ho aur agar Momin yeh Jaan jaye ke Uss ke Paas kitna Azaab hai tou Jahannum se woh bhi Be-Khouf na rahey.”
Geebat Karney Walon Ka Azaab .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jab Mujhe Meraj Ata Ki Gayee Tou Uss Raat Mera Guzar Ek Qoum Par Se Hua Jinkey Nakhun Taanbey(Copper) Ke They Aur Wo Un Nakhuno Se Apney Chehrey Aur Seeney Ko Khurach Rahey They Tou Mainey Kaha Ye Kaun Log Hain Aye Jibril ?,.. To Unhoney Kaha Ki - Ye Wo Log Hain Jo Logon Ka Gosht Khatey Hain (Yaani Unki Geebat…
Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hadees of the Day Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hazrate Abu Umama (R.A) riwayat karte hain ki,Ek aadami aaya aur uss ne arz kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Waliden ka apni Aulaad par kitna haq hai ? Aap (ﷺ) ne farmaya - "Woh (Maa-Baap) donon teri jannat hain aur dozakh." (yaani unki khidmat kar ke jannat haasil kar lo ya nafarmaani kar ke dozakh ke mustahiq ho jawo). 📕 Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,📕 Mundhiri at-targhib wat-tarhib,03/216,…
Sona aur Chandi Ki Zakat Kaise aur Kitni De? https://www.youtube.com/watch?v=cxscBeqAoTw Sona aur Chandi Ki Zakat Kaise aur Kitni De? Sone aur chandi ke Zakat ke masail , How to Give Zakah On Gold And Silver & How Much, chandi ki zakat ka nisab, sone ki zakat nikalne ka tarika, sadqa aur zakat mein farq in urdu, zakat kitni hoti hai in urdu, sone ki zakat
Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne… Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne wala bhi hai Allah Ta'ala Farmata Hai: “Jaan Lo! Bila Shubha Allah Ta'ala Sakht A'zaab Dene wala hai aur Bila Shubha Allah Ta'ala bohot Bakhshne wala aur Nihayat Raham wala hai.” 📕 Surat-ul-Maaidah : 98
Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai "Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare tamam kaamo se poori tarah ba khabar hai." 📕 Surah Maidah 5:8
Allah tumhare Dil aur Amal ko dekhta hai Allah tumhare Dil aur Amal ko dekhta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Beshaq Allah Ta'ala Tumhari Suraton aur Tumhare Malon ko Nahi Dekhta Balki Tumhare Dilon aur Tumhare A'amaal ko Dekhta hai.” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2564
Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai” – (Roman Urdu: Al-Quran; 65:03) “जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह उसके लिए काफ़ी है” – (हिंदी अनुवाद; कुरान 65:03) “जर कोणी अल्लाहवर विश्वास ठेवतो तर त्याच्यासाठी अल्लाह पुरेसा आहे” – (मराठी अनुवाद; कुरान 65:03) “if any one puts his trust in Allah, sufficient is (Allah) for him” – (English Quran 65:03) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Ramadan Day 20 | Roza Allah ke liye hai aur Allah hi… Ramadan Day 20 ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga...
Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Taala farmata hai: "Mere Bando ko Khabar de do Ki Main bohot bakhshne wala aur bada hi Meharbaan hoon. Aur Saath hi Mera Azab bhi Dardnak hai." 📕 Quran 15:49-50
Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai "Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega. Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai " 📕 Surah Baqrah: 2:284
Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: "Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr aata hai tou Unke Dil hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat unke Saamne padkar sunaayi jaati hai tou wo Aayat unke Imaan ko aur Zyaada kar deti hai, aur wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz ki Paabandi karte hai, aur jo kuch Hamne(Allah) Unko diya hai Uss me se Kharch karte hai, Pas…
Allah ka hukum sirf Mujhse Mango / Allah says that… !!! Bismillah hir-Rahman nir-Rahim !!! ♥ Hadith-Qudsi: Allah Subhanahu ne farmaya Mujhse Raah mango, Mujhse khana mango, Mujhse kapda Maango, Mujhse bakshish Maango Abu Dhar (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihey wasallam) se suna ki Allah taala ne farmaya: "Aye Mere Bando! mainey Zulm ko apney upar Haram kiya hai aur tum par bhi Haram kiya, Tou Mat Zulm karo aapas mein ek dusrey par, Aye mere bando! tum sab Gumraah ho magar jisey main raah batlauu…
Allah ka Fazl hai Maalo Doulat - Allah jise Chahta… ✦ Hadith: Maal-O-Daulat Allah ka Fazl hai, Wo jise chahta hai ata karta hai. Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas kuch Sahaba-e-kiram (RaziAllahu Anhu) aatey hai jo Gareeb they, RasoolAllah (ﷺ) se arz karte hai "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! yeh Maaldaar Sahaba Namaz padhtey hai, Roza rakhtey hai, Hajj karte hai, Zakaat detey hai, tamaam kaam karte hai, uskey bawajud Allah ki Raah me maal kharch karke Nekiyon me humse aagey nikal jaate hai. Lihaja Aap hume koi aisa Amal (solution) de…
Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye… Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)" 📕 Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993-Hasan