Al-Quran: Aur Baaz log kehte hai ke wo Allah par… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Dil se Imaan Na Laane Waale Log Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur Baaz log Aise bhi hai jo (Zaban se to) kehte hai ke Hum Allah par aur Qayamat par Iman Laye , Hala ki Woh Dil se Iman nahi Laaye" 📕 Surah Baqraah 2:8
Logo par Reham karne ke Fayde ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ghussa Control aur Maafi ki Fazilat (Islamic Quotes) "Jo Ghusse ko Pee Jaate hai aur Doosro'n ke Kasoor Muaf kar dete hain, aise log Allah ko bohat pasand hain." (Surah-Al-Imran 3:134) Muafi aur Reham ki Hadees 1️⃣ Hadees:"Jo Shakhs Kisi ko Muaf kar deta hai, Usse Allah Ta'ala Izzat se Sarfaraz karta hai." (Muslim Sharif) 2️⃣ Mafhoom-e-Hadees:Wo Shakhs Jannati hai Jo Raat ko Soney se Pehle sab ko Mua’af kar ke soye. 3️⃣ Mafhoom-e-Hadees:Ek Roz Sayyiduna Musaa…
Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hadees of the Day Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hazrate Abu Umama (R.A) riwayat karte hain ki,Ek aadami aaya aur uss ne arz kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Waliden ka apni Aulaad par kitna haq hai ? Aap (ﷺ) ne farmaya - "Woh (Maa-Baap) donon teri jannat hain aur dozakh." (yaani unki khidmat kar ke jannat haasil kar lo ya nafarmaani kar ke dozakh ke mustahiq ho jawo). 📕 Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,📕 Mundhiri at-targhib wat-tarhib,03/216,…
Agar Allah apne Bando ki Nafarmaniyo par unhe Pakad Leta ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Aur agar Allah apne Bando ki Nafarmaniyo par unhe Pakad Leta to Zameen par kisi ek Jaandar ko baaki na rakhta, magar Allah tou ek Muqarrar wakt tak un sabko mohlat deta hai fir unka wah Wakt aa pahuchega tou Na ek Ghadi pichey hat sakte hai aur na hi Aagey badh sakte hai” – (Al-Quran, Surah Nahl 16:61) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ “यदि अल्लाह लोगों को उनके अत्याचार पर पकड़ने ही लग जाता तो धरती…
Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Hadees: Thabit Bin Ad-Dahhak (R.A) Se Riwayat hai, Ki RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: "Jo Shakhs Apney Nafs Ko Kisi Cheez Se Halak Karey Wo Dojakh Me Usi Cheez Se Azab Diya Jata Rahega, Aur Momin Par Lanat Bhejna Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai, Aur Jisney Kisi Momin Par Kufr Ka Ilzam Lagaya Wo Bhi Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6652
Nek Bando ke liye Jannat ki Nematen Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Taala farmata hai: "Maine Apne Nek Bandon ke Liye (Jannat mein) Woh Cheezein Tayyar kar Rakhi hain Jinhein kisi Aankh ne dekha na kisi Kaan ne Suna aur na kisi ke Gumaan mein Woh aayi hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 4779
Huqooq ul Ibaad : Bando ke Huqooq in Urdu Bayan https://youtu.be/GaNyQL3iQBU Bando ke Huqooq in Urdu Bayan Bando ke haqooq Bando par kya hotey hai iske bare me jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. jazakAllahu khairan kaseera. bando ke huqooq in urdu, waldain ke huqooq in urdu, huqooq ul ibaad quotes, maa baap aur biwi ke huqooq in urdu, aurton ke huqooq in islam in urdu, haqooq ul ibad ki ahmiyat in urdu
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Waqt par Namaz Padhna Waqt par Namaz Padhna Hadees: Ubadah Ibn As-Samit (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Mere baad tum par aisey log hukmaran hongey jinki mashguliyat unko waqt par namaz ki adayeegi se rok degi, yahan tak ki waqt nikal jayega, isliye tum apney waqt par namaz parhna." Ek shakhs ne pucha Ki: "ya Rasool'Allah (ﷺ)! kya main unkey (Jamaat me sharik ho kar dobara) namaz parh lu ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "haan agar tu chahey." 📕…
Allah ke Hukm par Humesha Qayam rehna Allah ke Hukm par Humesha Qayam rehna Rasool'Allah (ﷺ) Allah ke Rasool hain aur Aap ke bataye huay tariqay me hamare liye rehnumai hain. Ek aisi baat jo RasoolAllah (ﷺ) ne hum sab se farmayi thi wo hai Allah ke hukm par qayam humesha rahna hai. ۞ Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) ne kaha ki, maine RasoolAllah (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai ke "Meri Ummat Me Se Ek Aisi Jamaat Hamesha Allah Ke Hukm Par Qayam Rahegi, Jo Inki…
Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala Apne Raham Dil Bandon par hi Raham farmata hai” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 1284, 5655
Qurani Dua-12 - Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene… Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene walo me likh le Bismillah-Hirrahman-Nirrahim رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنزَلَتْ وَاتَّبَعْنَا الرَّسُولَ فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَِ Rabbana amanna bima anzalta wattaba 'nar-Rusula fak-tubna ma'ash-Shahideen ‟ Aye Humare Rab! Jo kuch tuney nazil kiya hum us par iman laye aur humne tere Rasool ki pairvi ikhteyar kar li, bas tu hume (haq ki) Gawahi dene walo me likh le [3:53] ‟ हमारे रब! तूने जो कुछ उतारा है, हम उसपर ईमान लाए और इस रसूल का…
Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan Mafhoom-e-Hadees: Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrate Anas bin Malik (R.A) bayan karte hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: (Shab-e-Meraj me) Allah Ta’ala ne meri Ummat par Pachaas (50) Namazein farz ki, tou Main un (Namazon) ke saath waapas aaya yaha’n tak ki Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ke paas se guzra tou unhone kaha ki 'Allah Ta’ala ne aap par aap ki Ummat ke liye kya farz kiya hai ?' Main ne kaha : 'Allah Ta’ala…
Hadees: Haq baat na manna aur logon ko haqeer… Hadith: 5-May: Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Haq baat na manna aur logon ko haqeer samjhna Takabbur(ego) hai. -Muslim 275