Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Deen aur Dunia ki Khair ke liye Dua… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abu Malik, Sa'd Bin Tariq (R.A) se Mairwi hai ke, Ek shakhs Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat me hazir hua aur usne arz kiya, "Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ! Main apne Rab se sawal karu to kya kahu ?." Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Tum ye kaho ! Aye Allah mujhe Bakhsh de, Mujh par Reham farma, aur Mujhe Aafiyat de, aur Mujhe Rizk ata farma, aur aap ne Anguthe…
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Hadees: Abu Masud Al-Ansari (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 5351
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Dunia me 4 Qisam ke Logo ki Niyato ka badla: Hadees Hadees: Abu Kabshah Anmaari (R.A) se kehte hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Mai tum se ek Hadees bayan karta hoon usey yaad rakhna:1). Sadqa karne se kisi ke maal me kami waqai nahi hoti",2). Jis kisi par Zulm hua ho aur woh Sabr kare tou Allah uski Izzat me Izafa farmata hai",3). Jo Shakhs (logon se) mangna shuru kar de tou Allah uss par Fikr aur tangi ka darwaza khol deta hai (aur woh har qisam ke…
Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah Taala farmata hai: "Allah ke Alawa jin jin ko tum pukarte ho, Woh Hargiz ek Makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarche wo sab is kaam ke liye ikhatte hi ho jaye." 📕 Quran 22:73
Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai? Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai Hadees: Sahaaba (R.A) ne arz kiya : Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! kya koi aadami apne maa baap ko bhi gaali deta hai? Aap (ﷺ) ne farmaaya : "Haan! aadmi kisi ke baap ko gaali deta hai to woh us ke baap ko gaali deta hai, aur kisi ki maa ko gaali deta hai to woh us ki maa ko gaali deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 1902
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Hadees: Thabit Bin Ad-Dahhak (R.A) Se Riwayat hai, Ki RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: "Jo Shakhs Apney Nafs Ko Kisi Cheez Se Halak Karey Wo Dojakh Me Usi Cheez Se Azab Diya Jata Rahega, Aur Momin Par Lanat Bhejna Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai, Aur Jisney Kisi Momin Par Kufr Ka Ilzam Lagaya Wo Bhi Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6652
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Jis Seene me kuch bhi Quraan na ho wo Wiraan Ghar ki… Wiraan Ghar ki Misaal Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Seene me kuch bhi Quraan majeed na ho, Wo wiraan ghar ki misaal hai." 📚 Tirmizi J:4 S:419, Hadees:2922
Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ अल्लाह तआला कुरआन में फरमाता है: ❝ क्या तुम लोग आखिरत की ज़िन्दगी के मुकाबले दुनिया की जिन्दगी पर राजी हो गए ? दुनिया का माल व मताअ तो आखिरत के मुकाबले कुछ भी नहीं। ❞ ❝ Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki zindagi par razi ho gaye ? Dunia ka maal wa matah to aakhirat ke muqable kuch bhi nahi. ❞ 📕 Surah Taubah 9:38 (इस लिये किसी इन्सान के लिये मुनासिब…
Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki… Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) subah ko unke pass se nikle, wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone…
Koi Aurat Apne Shohar se kisi bhi Aurat ka huliya… ✦ Hadith: Roman Urdu Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." - (Sahih Bukhari; Hadith 5240) ✦ Hadith: English Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet (ﷺ) said, "A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he…