Marne waalon ki achchaiyon ko yaad rakho, aur Burayi… Marne waalon ki achchaiyon ko yaad rakho Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Apne marne waalon ki achchaiyon ko yaad kiya karo aur un ki buraaiyon ko bayaan na karo." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 4900
Salam me pehal wo hi karta hai jo Allah se Qareeb ho ✦ Hadith: Sabse pehle Salam koun karta hai ? ✦ Abu Umamah (R.A) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se kisi ne puchha ke jab Aadmi ek doosre se mile tou un dono me se koun pehle Salaam kare?... Aap ﷺ ne farmaya: "Jo un dono me Allah ke Nazdeek Zyada Behtar ho." - (Jami` at-Tirmidhi 2694 @ www.ummat-e-nabi.com/home) अबू उमामा (र.अ.) ने बताया के : "उन्होंने कहा: 'हे अल्लाह के पैगम्बर ﷺ ! जब दो पुरुष मिलते हैं, तो…
Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai Hadees of the Day Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai TRANSLITERATION ★ Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne faramya, ‟ Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai)." HINDI ‟ क्या मैं…
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki… Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) subah ko unke pass se nikle, wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone…
Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah (ﷺ) ne Unki Pareshani ka Sabab Pucha. Tou Unhone Kaha "Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! Ek Gham Mujhe khaye ja raha hai, ke Mai yeh Sochta hu ke Aaj Dunia me Aapka Chehra Mubarak dekhey bagair Hum reh nahi patey, chalte aur phirtey, uthtey aur baithtey jab bhi aapki yaad aati, Aapse aa kar Hum mil letey, aapka didaar karte aur hume Sukun milta hai. lekin…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha deti hai Allah Taala farmata hai: "Jab Allah Taala ki Aayatein un Imanwalo ko padh kar sunayi jaati hai tou wo Aayatein un ke iman ko aur badha deti hai." 📕 Quran, 8:2
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne… Halala ka Nikah karne wale ka GunaahHalala karne wale par Allah ki Lanat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana…
Beshak Sadaqah Rab ke Gusse ko Thanda karta hai Beshak Sadaqah Rab ke Gusse ko Thanda karta hai Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Beshak Sadaqah Rab ke Gusse ko Thanda kar deta hai." [ Tirmidhi 664 ]
Al-Quran: Aur Baaz log kehte hai ke wo Allah par… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Dil se Imaan Na Laane Waale Log Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur Baaz log Aise bhi hai jo (Zaban se to) kehte hai ke Hum Allah par aur Qayamat par Iman Laye , Hala ki Woh Dil se Iman nahi Laaye" 📕 Surah Baqraah 2:8
Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak… Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Meri Ummat ko Bure Khayalaat ki Had tak Muaf kiya hai jab tak Us par Amal na kare ya Usey Zubaan se ada na kare." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 5269
Jab Allah Kisi Musalmaan ko Beemari Me Mubtilah Karta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Yahiya Ibn Say'eed (RaziAllahu Anhu) Se Rewayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Ek Shakhs Ki Maut Par Dusra Ek Shakhs Ne Kaha, Woh Bara Naseebwala Tha, Kisi Beemari Ya Taqleef Ke Bagair Hi Mar Gaya, Ye Baat Sunkar RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Tum Mein Se Kisne Kaha Ki Woh Bahut Nassebwala Tha ? Agar Allah Usey Kisi Beemari Mein Mubtilah Karta ! Tou (Uske Badle) Uske Gunaho Ko Maaf (Kaffara) Kar Deta.,.."…