Contents
✦ Hadith: Maal-O-Daulat Allah ka Fazl hai, Wo jise chahta hai ata karta hai.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas kuch Sahaba-e-kiram (RaziAllahu Anhu) aatey hai jo Gareeb they, RasoolAllah (ﷺ) se arz karte hai “Ya RasoolAllah (ﷺ) ! yeh Maaldaar Sahaba Namaz padhtey hai, Roza rakhtey hai, Hajj karte hai, Zakaat detey hai, tamaam kaam karte hai, uskey bawajud Allah ki Raah me maal kharch karke Nekiyon me humse aagey nikal jaate hai. Lihaja Aap hume koi aisa Amal (solution) de dijiye taaki hum bhi Nekiyo me inke barabar aa jaye.”
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “har Namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh (Subhanallah) aur Tamheed (Alhamdulillah) aur Takbeer (Allahu Akbar) aur aakhir me kaho ‘La ilaha illa wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu, wa huwa ala kulli sha’in qadir’ tou tum bhi Nekiyon me inke barabar aa jaoge.”
Gareeb Sahaba khush hue ke ab Hum bhi Nekiyon me Ameer Sahaba ke barabar ho jayenge. Lihaja Masjid me pohche aur Namaz ke baad Tehtees-Tehtees martaba Tasbeeh, Tamheed aur Takbeer padhney lage.
Yeh amal dekhkar Ameer Sahaba ko ta’ajub hua aur ek ne unsey sawal kiya ke ye kaisa amal hai?. Ab gareeb Sahaba chupa bhi nahi sakte they. unhone kaha ke ‘Hum tumhari shikayat le kar gaye they Rasool’Allah ﷺ ke paas. ke tum maal ki wajah se Nekion me humse aagey nikal jatey ho, Hum bhi nekiyo me tumhare barabar aana chahte they lihaja Rasool’Allah ﷺ ne Hume yeh falah falah tasbih de di.
Unn Ameer Sahabiyon ne kaha – ‘Acha Thik Hai.’ Ab agli Namaz me sabhi moujud hai. ab Namaz ke baad gareeb bhi Tasbeeh padh rahe hai aur Ameer bhi. ye majra dekhkar wo Garib sahaba fauran Rasool’Allah ﷺ ke paas pohche aur arz kiya ‘Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) jo amal aapne hume diya tha wo unhone ne bhi shuru kar diya.’
Tou Rasool’Allah ne Surah Al-Jumu’a ki Aayat 4 tilawat ki aur farmaya:
“Zalika Fazlullahi Yuti Hi Mayyashaha” (Yeh Allah Ka Fazl Hai Maal-O-Daulat Wo Jise Chahta Hai Ata Karta Hai)
Wajahat: is Hadeese mubarak se yeh baat wajeh hoti hai, ke sahaba nekiyo me itney harees they ke sunnat se sabit koi amal chortey nahi they aur jo kaam Sunnat se sabit na tha usey Bidat jantey they.
Lekin afoso aaj humari la-ilmi ka yeh haal hai ke hum Daulat ke lalach me aise aise Bidato ki pairwi karne lagey hai jiska Shariyat me koi wajud hi nahi aur hum unn Biddato par amal karke Shariyat par yeh ilzam lagatey hai ke jo amal RasoolAllah ﷺ ko aur Sahaba ko maloom na tha wo hume maloom ho gaya. (Nauzubillah).
Aur fir aisi Gustakhi karne ke baad bhi hum apney aap ko Aashike Rasool, Ahle Sunnat Wal Jamaat aur Jannat ke Mustahik hone ka dawa karte hai.
– Allah Ta’ala hum tamam ko Haq sun’ne samjhne aur uss par amal ki taufiq dey,
– Tamam kism ki gumrahi se bachney ki taufiq ata farmaye,
– Tamam kism ke Shirk aur Biddato se humare imaan ki salamti ata farmaye,
– Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
– Khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!