Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“4 Cheeze badnaseebi ki pehchan hai; (1) Aankho ka khushk hona, (2) Dil ka Sakht hona, (3) Ummidon ka lamba hona, (4) Dunia ki hirs wa lalach ka hona .”
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Hadees: Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jhooth se bacho, isliye ke jhooth Gunah tak le jata hai aur Gunah Jahannum tak le jata hai." 📕 Muslim, Hadees 6805
Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai: Hadees Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai, "Hargiz Sharaab Na Peena! Isliye ki Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 22075
Hadees: Chaar baato par Iman Lana Farz hai Hadees: Hazrat Ali (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jabtak koi banda in 4 baaton par imaan naa laye, to woh Momin nahi ho sakta: (1) is baat ki Gawahi de ke Allah ke alawa koi ibadat ke layaq nahi, (2) (is ki bhi gawahi de ke) Main (Muhammad ﷺ) Allah ka Rasool hu, usne mujhe Haq ke saath bheja hai. (3) Marne aur dobara Zinda hone ka yakin rakhe. (4) Taqdeer par imaan…
Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai : Hadees Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai Hadees: Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai. Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, SABAQ: Bhai ke Samne Muskura dene se Muraad Apne Momin Bhai ko Dekh Khush'hali ka Izhaar karna hai Jo Allah ke Nazdik Ek Sadqa hai, thik Usey bhalayi…
Usne Iman ki Mithaas ko paa liya (Hadees) Usne Iman ki Mithaas ko paa liya Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya : Teen (3) Khaslate Aesi hai ki Jisme ye Paida ho jaye Uss ne Emaan ki Mithaas ko paya. ∗1. Pehli ye ki Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ke Nazdeeq sab se Ziyada Mehboob ban jaye. ∗2. Doosri ye ki woh Kisi Insan se Mahaz Allah ki Raza ke liye Mohabbat rakhe. ∗3. Teesri ye ki woh Kufr me wapis Loute Jane ko…
Hadees: Bhali baat sikhana behtar hai khamoshi se… Hadith: 22-March: Imran (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟ Bhali baat sikhana behtar hai khamoshi se aur khamoshi behtar hai buri baat sikhane se. 📕 Shoaib Ul Iman 4993
Behatreen Aurat ki Sifat aur Pehchan ✦ Behtarin Aurat Ki Sifat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) se pucha gaya ki, "Behatreen Aurat kaunsi hai ?." Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: "Wo Aurat jisko uska Shohar jab dekhe tou wo usko khush kar de, aur jo hukm wo (Shohar) usko de wo uski farmabardari kare Aur Apne Nafs aur Daulat me uske khilaf koi kaam na kare." - (Sunan Nasaii, Jild 2, 1143-Sahih) ✦ Behtarin Aurat Ki Pehchan Rasool’Allah (ﷺ) se daryaft…
Dua ibadat ka Magaz hai Hadees Dua ibadat ka Magaz hai Hadees Hadees: Anas-Bin-Malik (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ka farmane hai ke - "Dua Ibadat ka Maghaz (Brain) hai." 📕 Tirmizi, Kitaab Al-Doawat, Hadees: 3382 • Note: Dua Ibadat ka Maghaz Isliye hai ke - "Dua Mangne Wala har Ek (1) se Alag ho kar Apne Rab ki Bargah me Munajaat (Tareef) karta hai." 📕 Faiz Al-Qadeer, Jild: 3, Page: 721
Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya -"Gaali-Galoch karne waale Dono Shaitan hain,Woh Ek-Doosre par Ilzaam Lagaate aur Jhoot boltey hain." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 17483 Ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai ke:"Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena.” 📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees: 2459 Afsos ki baat hai -- Aaj ye Khabahat yeh Burayi Ummat-e-Muslima ko Nasoor ki tarha lag gayi hai.- Chote Se Chote Ikhtelaf me bhi Gaali…
Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Agar Tumhare paas 4 Cheezein ho tou duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hoga: 1) Amanat ki Hifazat, 2) Baat me Sachhai, 3) Achchi Aadate, 4) Pakeeza Rozi.❞ 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5258
Devar / Jeth toh Mout ki tarah hai: Hadees Devar / Jeth to Mout ki tarah hai: Hadees Uqba (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum log ajnabi aurto ke paas jaane se bacho! Ek Ansari Sahabi ne sawal kiya ke Aye Allah ke Rasool ! Dewar ke baare me Aap ka kya khayal hai?" Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Dewar to mout hai (is liye aurto ko unse parda karna zaruri hai)." 📕 Bukhari, Hadees 5232 NASIHAT : Ulmao ka kahna hai ki…
۞ Hadees: Buzurg Musalman ki Izzat karna Allah… ۞ Hadees: Hazrat Abu Musa Ashari (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah )SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanahu ki tazeem ka hissa ye bhi hai ki Safaid baalo wale Musalman (yaani Buzurg) ki Izzat ki jaye aur Quran kareem ke haamil yaani (Hafiz, Qari ya Aalim) ki bhi Izzat ki jaye siwaye usmein gulu aur kami karne walo ke aur Aadil Baadshah ki bhi Izzat ki jaye." 📕 Sunan Abu Dawood, Jild 3,1415-Sahih ✦ Aadil Baadshah yaani Insaf…