♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Teen Baatey Aisee hain jisko Haqeeqat me kehna bhi haqeeqat hai aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat ho jata hai ,
(Wo teen Baatey hai) Nikah, Talaq aur Ruju (yaani Talaaq ke baad Biwi ko wapas apna lena).” – (Sunan Ibn Majah, JIld 2, 196-Sahih)
Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai? Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai Hadees: Sahaaba (R.A) ne arz kiya : Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! kya koi aadami apne maa baap ko bhi gaali deta hai? Aap (ﷺ) ne farmaaya : "Haan! aadmi kisi ke baap ko gaali deta hai to woh us ke baap ko gaali deta hai, aur kisi ki maa ko gaali deta hai to woh us ki maa ko gaali deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 1902
Ilm-e-Gaib ki Haqeeqat Ilm-e-Ghaib ka Sawal jispar kayi Tehriko ka Ekhtilaf Koi kehta hai Aap (ﷺ) ko Ilm-e-Gaib bilkul bhi nahi tha, aur koi kehta hai Aap ﷺ ko Mukammil (Completely) Ilm-e-Gaib tha. Yaad rakhey aise dono kism ke log apne akide me kamzor hai, Inhe chahiye ke sahi ilm hasil kare aur apni islah kar ley. Kyunki agar Aap Seerat un Nabi ﷺ ka Muta'ala karte hai tou Maaloom hoga ke Aap (ﷺ) ke sath aise kayi waqiyat pesh aaye Jis'se wajeh hota…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa" *Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya: "Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. " - (Tabarani: Chapter-'Ikramul Muslimeen') *Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke - "Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,.." .. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!! *Yakinan…
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85
Mahe Rajab ki Haqeeqat aur Humari Bidatain by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/embed/obeRTL8bq5k Mahe Rajab ki Haqeeqat aur Humari Bidatain Rajab ke Mahine ki Hakikat kya hai, Rajab me kiye jane wale aamal kis had tak Qurano Sunnat se sabit hai iske bare me tafseeli jankari ke liye Aayiye is bayan ka mutala karte hai. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon karey. jazakAllahu khairan kaseera. Rajab ke baare me: 22 Rajjab ~ Kunde ke Niyaz ki Haqeeqat (Rajab ke Kundey)
Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai : Hadees Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai Hadees: Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai. Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, SABAQ: Bhai ke Samne Muskura dene se Muraad Apne Momin Bhai ko Dekh Khush'hali ka Izhaar karna hai Jo Allah ke Nazdik Ek Sadqa hai, thik Usey bhalayi…
Biddat Ki Haqeeqat: Part-2 ✦ Duniya me Biddat se koi Mumaniyat nahi: Shareeyate Islamiya ne Duniya me hume Biddat karne se nahi roka!. matlab Duniya me Inventions kijiye , khub discoveries kijiye! lekin deen me koi nayi baat Ijad mat karna. Kyunki Deen wohi hai jo Rasool’Allah (ﷺ) ka bataya hua hai, Ismey koi naya Akida, naya Amal shameel nahi ho sakta. Haa! Duniya ke andar Aap nayi “Buildings” banana chahtey ho, Achi-Achi gaadiya chalana chahtey ho. Sharayi Usoolo wale Acche-Acche kapde pehnana chahte ho,…
Biddat Ki Haqeeqat: Part-5 # Biddati Houz-e-Kousar Se Bhi Hakaaley Jayenge - Deen Me Naye Aqaid Ijad Karnewale Jahannum Tou Raseed Honge Hi, Lekin Qayamat Ke Din Inhe Hoze Kausar Se Bhi Hakala Jayega,.. ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) Farmatye Hai Ke – "Kuch Log Qayamat Ke Deen Mere Paas Aatey Honge,.. Houze Kousar Par Mera Meember Laga Hoga Aur Waha Aasman Ke Sitaro Ke Manind Glass Honge,… Mai Apne Ummatiyon Ko Houze Kousar Ka Paani Pilata Hu,… Jo Ek Baar Paani Piyega Kabhi Pyasa…
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Hadees: Abu Masud Al-Ansari (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 5351
Arab se Bugz ki Sajish Aur Uski Haqeeqat .... *Aaj Puri Duniya Me Wabila Hai Ke – Arab Jahil Hai, Arab Pagal Hai, Arab Tou Gandey Rehte Hai , *Kabhi Socha Hai Humne Ke Kaisi Na-Insaafi Hum Kar Rahe Hai ? - Mere Azeezo !! Aaj Kya Ho Gaya Hume Ke - Hum Azam(Non-Arab) Se Wabsata Rakhne Wale Auliya-Allaho Ki Naslo Ki Tazeem Karte Hai Lekin Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aur Sahaba Ki Naslo Ko Arbiyo Ko Galiya Detey Hai ,.. Nauzubillah!!! *Jabki Hakikat Tou Ye Hai Ke…
Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur… Hadees of the Day Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur khud bhi Gusal kare Aws bin Aws (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Juma ke din (Apni Biwi) ko gusal karwaye aur khud bhi gusal kare phir namaz ke liye jaldi jaye, paidal jaye aur sawar hokar na jaye aur imam ke nazdeek hokar khutba suney aur behuda baat na kare to uske har qadam par usko ek saal ke…
Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou ... Hadees of the Day Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah ki Qasam! agar tumhare Zariye ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou wo Tumhare liye Surkh Untoun (Camel) se behtar hai." 📕 Muslim, Hadees 2406 Surkh Unthon ki Naslo me se sabse behtareen Nasl hai, aur Allah Uss Bandey se jyada raazi hota hai Jo Logon Me Awaam me hidayat ki Dawat deta hai,…
Shab e Barat ki Ibadat : Shab e Barat ki Haqeeqat… Kya Shab e Barat Manana Quran wa Sunnat se Sabit hai? Shab e Barat ki Haqeeqat Shaban Maheene me 15th Shab ko "Shab e Barat" ke naam se yaad kiya jata hai. kuch log is Raat ke liye Shab-e-Qadr jaisi fazilate bayan karte hain. yeh Aqeeda rakha jata hai ke is Raat poore Saal me hone wale Waqkhyat ka faisla kiya jata hai. is raat infiradi wa ijtimayee ibadato ka Ahtmam kiya jata hai. Aatish baziya ki jati hain, Masjido…
786 ki Haqeeqat Dar-haqikat 786 ke kayi maaney hotey hai. Dour-e-Jahalat me Arbo me ek tareeka hua karta tha jisey "Abjad" kehte hai. Ismey Arbi ke Alfazo me kuch Numbers lagatey they, jaise ke Alif = 1, Ba = 2 ... in gintiyon ko milakar yeh log faal khola karte they. Jaise misal ke tour par aapka naam hai Faiz, Ismey 'Fa', 'Ye', 'Jwad' tou inki Value of numbering ki calculation karke total number nikaltey aur Chittiyo ko mod detey aur kehte likho…